Pakistan Gold River Urdu Documentary Gold Mine Pakistan Reko Diq Jesa Khazana

Описание к видео Pakistan Gold River Urdu Documentary Gold Mine Pakistan Reko Diq Jesa Khazana

Pakistan Gold River Urdu Documentary Gold Mine Pakistan Reko Diq
Pakistan ke natural resources ki baat karain tou Pakistan is mein maala maal hai. Hamare ilaqon mein sonay ke khazane aur pahar mojood hain lekin ab Pakistan mein sone ka darya bhi mojood hai. Log us river se kayi saalon se sona nikaal rahe hain. Darya ke kinaron par parri hoi rait (sand) mein sona hi sona hai. Ye gold kis ilaqe mein hai kis hi history aur facts kya hai aaj aap isi video mein janain gey. Is video mein aap ye bhi jaan sakain gey keh China, India aur Pakistan mein behnay wale darya e sindh yani indus river mein gold kese aya. Darya se sona kese nikaaltay hain aaj aap ye bhi dekh sakain gey. Hamare pahari ilaqon mein itna khazana hai keh agar hum is ka sahi istemal karna jantay hon tou mulk ki kismat badal saktay hain.

Balochistan mein sone ke pahar yani Reko Diq ke bare mein tou aap ne dilchasp maloomaat isi channel par hasil ki thien ab sonay ke bare mein mazeed dilchasp haqaiq janain is urdu documentary film mein. Ye dastawezi film khas tor par aap ke liye Attock shehar ke paas behnay wale darya e sindh ke kinaray banai gayi hai. Pakistan gold par ye report aap ki knowledge mein izafa kare gi. Dunya ke jin daryaon mein sona paya jata hai Pakistani rivers bhi un mein se aik hain. Aap ko agar ye documentary pasand ayi tou Pakistan ke samandar mein kon kon se khazanay hain is bare mein bhi hum aap ke liye information se bhari hoi video banayain gey.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке