Noha 2024 | Mera Hi Naam Abbas Hai | Farhan Ali Waris

Описание к видео Noha 2024 | Mera Hi Naam Abbas Hai | Farhan Ali Waris

New Noha 2024 "Mera Hi Naam Abbas Hai " Farhan Ali Waris For Muharram 2024 i.e Nohay 2024

SYED FARHAN ALI WARIS PRESENTS MOLA ABBAS NOHA 2024 , HIGHLIGHTING THE VIRTUES AND EXCELLENCES OF HAZRAT GHAZI ABBAS ALAMDAR IN A SPIRITUAL MANNER.

" ABBAS THE BACKBONE OF IMAM HUSSAIN "

میرا ہی نام عبّاس(ع) ہے

MERA HI NAAM ABBAS(a.s.) HAI

Poetry | Gohar Jarchvi
Composed by | Syed Hassan Ayaz Jaffri
Chorus | Rizwan Mirza, Hasnain Mehdi, Moshin Hashmi,, Shahrukh, Sunny
Audio Recording | Owais Qureshi & Hassan Qureshi (ODS - Studio Karachi)
Audio Mixed & Mastered by | Omar Qureshi (ODS - Studio Karachi)
Video Production | The Focus Studio
Director | Safdar Kaleem
Edit | Hujjat Mehdi
DOP | Hansic Yousuf
Art Direction | Ali abbas -Tabish Abbas
Graphics | AR Graphics (abbas)
Technical Team | Muhammad Rizvi, Minhal Rizvi Aun Rizvi Taha Zaidi Faghir abbas Khurram Rizvi Muhammad Zaidi Abbas Rizvi Turab abbas
Special Thanks | FAW Team & Syed Hassan Ayaz Jaffri Syed Haider Abbas Zaidi


l-Abbas ibn Ali ibn Abi Talib (Arabic: ٱلْعَبَّاس ٱبْن عَلِيّ ٱبْن أَبِي طَالِب, also known by the kunya Abu al-Fadl (Arabic: أَبُو ٱلْفَضْل, lit. 'father of virtue'), was a son of Ali ibn Abi Talib, first imam in Islam. His mother was Fatima bint Hizam, commonly known as Umm al-Banin . Abbas fought as the standard-bearer of his half-brother Husayn ibn Ali in the Battle of Karbala on against the army of the Umayyad caliph Yazid ibn Mu'awiya (r. 680–683). He was killed in a desperate attempt to bring water from the Euphrates river to quench the unbearable thirst of the besieged family of the Islamic prophet Muhammad. .

Abbas(a.s.) Abbas(a.s.)


Maidaan Mein Aaya Haider(a.s.) Ka Shair
Haider ( ain ) ka sher

No Lakh Lashkar Karne Ko Zair
Karne Ko Zair

Mashk o Alam Ko Utha Kar
Lab Pay Rajaz Yeh Saja Kar
Mein Waris Zoor? e Haider(a.s.) Hoon
Sani e Hamza o Jafar Hoon

Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai


Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai

= = = = = = = = = =

Mera Baba Ali(a.s.)
Maan Hai Umm UL Baneen(s.a.)


Hoon Alamdar Karbobala


Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai

= = = = = = = = = =

Mera Aaqa Hai Woh Jis Kay Agay

Sar Adab Se Jhukta Hai Kaaba

Mere Seenay Mein Imran(a.s.) Ka Dil

Khoon Ragon Mein Hai Sher e? Khuda Ka

Gar Barhaon Qadam
Kis Mein Hai Itna Dum

Rok Le Aa Ke Rasta Mera

Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai

= = = = = = = = = =

Mujh Ko Talwar Ki Kya Zaroorat


Mein Nigahon Se Dil Kaat Lunga

Dekhna Dekhte Dekhte Hi

Dasht Laashon Se Mein Baat Dunga

Hukum e Mola(a.s.) Nahi
Warna Mein To Yahin


Khech Doon Naqsha Siffeen Ka


Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai

= = = = = = = = = =

Do Rukhi Or Aal? e Nabi(s.a.w.w.) Se

Iska Matlab Bhi Samjhaonga Mein

Laakh Paon Parhe Ab Yeh Darya

Mashk Mein Bhar Ke Le Jaonga Mein


Pyaas Ki Qaid Mein
Yaas Ki Qaid Mein


Ab Rahay Ga Yeh Darya Sada


Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai

= = = = = = = = = =

Shamio Jung Karne Ki Mujh Ko


Mere Mola(a.s.) i?jazat Jo Dete

Aay Gi Kis Tarhan Se Qayamat

Apni Aankhon Se Tum Dekh Letay

Aati Jaan Se Kabhi
Aasmaan Se Kabhi


Al Hazal Al Amaan Ki Sada

Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai


= = = = = = = = = =

Kanp Kar Reh Gaya Dil Zameen Ka

Arsh Larza Falak Thar Tharaya
Arsh Larza Falak Thar Tharaya

Jhoom Kar Zaigham e Murtaza Ne

Itna Keh Kar Jo Naiza Uthaya
Itna Keh Kar Jo Naiza Uthaya


Jaise Tegh e Ali(a.s.)
Gardano Par Chali

Yun Chalay Ga Yeh Naiza Mera

Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai


= = = = = = = = = =

Soch Kar Tum Jo Akray Kharay Ho

Mein Akela Hoon Tum Itne Saray
Mein Akela Hoon Tum Itne Saray

Laakh Do Laakh Se To Akele

Jung Karte Hain Bachay Hamaray
Jung Karte Hain Bachay Hamaray

Meer e Lashkar Hoon Mein
Sher e? Haider(a.s.) Hoon Mein

Meer e Lashkar Hoon Mein
Sher e? Haider(a.s.) Hoon Mein

Kon Mujh Se Laray Ga Bhala


Ghor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai


= = = = = = = = = =

Meri Talwar Kay Har Nishaan Per

Sab Nay Dekhi Ali(a.s.) Ki Nishani
Sab Nay Dekhi Ali(a.s.) Ki Nishani

Mein Nay Paaya Shabab e Shujaat

Mein Nay Paaye Ali(a.s.) Ki Jawani
Mein Nay Paaye Ali(a.s.) Ki Jawani

Mere Har Waar Per
Ur Kay Kehte They Sar

Mere Har Waar Per
Ur Kay Kehte They Sar

Agay Run Mein Sher e? Khuda


Ghaur Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai


= = = = = = = = = =

Ek Qayamat Hai Farhan o Gohar

Lashkar e Zulm Sehma Huwa Hai
Lashkar e Zulm Sehma Huwa Hai

Mashk Mein Qaid Darya Ko Kar Kay

Sher Kehta Huwa Ja Raha Hai
Sher Kehta Huwa Ja Raha Hai

Aaj Tak Ba Khuda
Jo Kaha Woh Kya

Aaj Tak Ba Khuda
Jo Kaha Woh Kya

Hum Badaltay Nahi Faisla

Ghoor Se Dekho Mujhe
Mera Hi Naam Abbas(a.s.) Hai




#FarhanAliWaris #MolaAbbas #Nohay2024

Title Noha | Mere Ghar Mola Aey Hain | Nohay New 2024
   • Mere Ghar Mola Aey Hain | Farhan Ali ...  

Nohay 2024 | Bain ul Haramain | Farhan Ali Waris
   • Nohay 2024 | Bain ul Haramain | Farha...  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке