Sanatan Vaani (Eternal Voice) | सनातन वाणी | Narci | Hindi Rap

Описание к видео Sanatan Vaani (Eternal Voice) | सनातन वाणी | Narci | Hindi Rap

Song: Sanatan Vaani (Eternal Voice)
Rap & Lyrics: Narci
Intro Vocals: Shri Premanand Maharaj Ji
Music: TremoxBeatz
Mixing & Mastering: Xzeus
Artwork & Visuals: iKillGraphix

ABOUT 'SANATAN' (सनातन )
The word 'sanatan' has its roots in Sanskrit which can be translated into "eternal", "ancient", "venerable", or "unshakeable". Hence, 'Sanatan Dharma', as per popular Hindu beliefs, is a religion which has existed since time immemorial.

LYRICS
[Shri Premanand Maharaj Ji]
Hanuman ji ko Siya Ram pasand hai
Ram charitr sunibe ko rasiya

[Narci]
Seena tera taan tu, sath khade hai Ramdoot
Lenge tujhko Ram chhoo fir khud mein hi brahmand tu
Kyun dena hai pramaan yun jab naam jape hai Ram tu
Anubhoot lage tu Shantanu, de tod paap ke baan tu
Yaad kare jo Ram tu fir haazir honge Ramdoot
Ramdoot hi haazir hai tu ched koi bhi kaam tu
Kaam tera ban jaayega ye likh ke deta kagazon pe
Ek baar to Mahaveer ka le le praani naam tu
Gym mein lete naam prabhu ko hath uthate jab bhi wazan
Ladkon ki khurak hai desi, nashon ke dete nahi vachan
Brahmachary pe dhyan bhi poora, kaam unhe na ghere
Bhakton ki playlist mein Mahaveer ke bhare bhajan
Hathon mein hai bhagwa thaama, maathey pe hai laal tilak
Dil se hai Sanatani, na kartavyon jaaye bisar
Janam liya jis Bhoomi pe Mahaveer se yodha ne
Bharat mein paida hone ko dil ye jaata roz taras
Bhakti ka hai saar basa us Bhoomi se hoon bandhu main
Bhoomi se hoon bhai jahan pe kawad jaate kandhon pe
Gaadiyon ke dashboard pe Hanuman ki murt aur
Gharon ki saari chhatein saji hai Mahaveer ke jhandon se
Rath ke oopar Madhav ke jin Hanuman ki dhvaja lagi
Baatein jinki Shree Ram ki katha mein bhi to sada rahi
Hanuman bhi jaane meri bhakti ki paribhasha
Ram base na geeton mein to gaane ka bhi maza nahi

Satya Sanatan, Sanatan
Satya Sanatan, Sanatan

Rap nahi bhai ye swar hai Sanatani ka
Rap nahi bhai ye swar hai Sanatani ka
Rap nahi bhai ye swar hai Sanatani ka
Swar hai Sanatani ka, Swar hai Sanatani ka (x2)

Bhaav Suryavanshi mera, bhay nahi raatri ka
Aadhunik chhavi par chitt mera shashtri ka
Bol mere shaashvat, mitenge ye kaise?
Rap nahi bhai ye swar hai Sanatani ka
Rapper nahi mujhe Ram bhakt ki pehchaan do
Treta waale samay mein hi base mere praan to
Zinda hoon to Ram ka main naam nahi chorunga
Ram naam ka leke arthi jayegi shamshaan ko
Geet kheenche logo ko ye bol hai sensational
Tika na vivaadon pe, ye kavi poora rational
Daas Mahadev ka main, Hari ke Sameep hoon
Mathe pe Tripund kabhi chhaap dikhe Vaishnav
Dharm ko jo thes to main shola bhara badal
Dharm ko jo haani hrdy shola bhara sagar
Logon ke dilon mein gaane saans lenge aise
Jaise veeron ki kahaniyon mein Gora aur Badal
Liye Hari katha fir daas ye milega
Vrindavan mein Kavi tumhe raas mein milega
Shabri ke jaise ya talash mein milega
Jahan Ram hai maujood wahan Narci milega
Shabri ke jaise ya talash mein milega
Kewat ke jaise ya talash mein milega
Ram ko ye dhoondhega jaise haan Bharat ke
Ram honge Jahan wahan Narci milega
#sanatandharma #sanatan #bhaktisong #hindirap

Комментарии

Информация по комментариям в разработке