ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha

Описание к видео ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha

ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba Noha 2024 | 10 Muharram Noha 2024

Recite Sur E Fateha:- Haji Hasan Abbas
Ibne Haji Akhtar Hussain

2. CHALO RAN SE AKBARع KI LAASH A GAYI -    • Chalo Ran Se Akbar Ki Laash Aa Gayi |...  
3. HAM KO FARSH E AZA MIL GAYA HAI -    • Nohay 2024 | Abbas Ali Aarfi Nohay 20...  
5. BABA YE BATA DO KE CHACHA KYU NAHI AYE -    • Baba Ye Bata Do Ke Chacha Kyun Nahi a...  
5. CHALTA HAI GARDANE SHABBIR PE KHANJAR AMMAN -    • Chalta Hai Gardan E Shabbir Pe Khanja...  

Related - New Noha Shaam E Ghareeba(ghareebo ki shaam) 1446/2024 | Muharram 1446 New Noha 2024, 10 Muharram Noha 2024 | New Noha Shahadat Mola Ali Akbar 2024
Reciter - Abbas Ali Arfi
Poet & Composition - Janab Waiz Sultanpuri sb
Chorus - Rizwan Mirza & Team
Audio - ODS
Edit - Azmat Hyder
Video & Production - ‪‪@AzadariChittora‬

lyrics:-

Sunsaan ban wo raat wo uthta huwa dhuwan
Nikli padar ko dhoondne nanhi si ek Jan
Kahti thi baba Jaan batado ke ho kahan
Ek laash bol uthi meri beti main hun yahan
Lekar isi sada ka sahara paoch gai
Rote huwe nasheb me dukhya pahoch gai

Besar jab apne baap ko dekha nasheb me
Roi bahot yateem sakeena nasheb me

1
Maqtal me lash bap ki jab sar kati mili
Thi umr char saal ki bachi tarap gayi
Beti jab apne baap ko pehchan na saki
Awaz ya abaa ki yateema ne roke di
Lasha ghareeb baap ka bola nasheb me

2
Likha hai rawiyo ne wo manzar bada ajeeb
Jangal wo kali raat wo ghurbat wo gham naseeb
Awaz sunke baap ki pohchi hai jab qareeb
Halat padar ki dekh ke royi bohat ghareeb
Beti ke sath baap bhi roya nasheb me

3
Age badhi hussain ki mazloom ghamzada
Teero se jism bap ka dekha bhara hua
Ghabra ke teer jism se karne lagi juda
Kamsin thi koi teer na us se nikal saka
Paya na jab hussain ka seena nasheb me

4
Khali na pai jism pe teeron se koi jaa
Karne lagi tawaf wo baba ki laash ka
Mayoos ho ke paiti paithi wo gam zada
Rukhsar apna baap ke talwon pe rakh diya
Lekar padar ke paaun ka bosa nasheb me

5
Apne padar ki laash pe Le le ke siskiyan
Wo apna dard baab se karne laghi bayan
Rukh par bani thi saaf Jo zalim ki ungliyan
Bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo Nishan
Zakhmi badan husain ka tadpa nasheb me

phir ye kehne lagi ro ro ke yateema baba
Mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba
Mara zalim ne mujhe aisa tamacha
baba
Chha Gaya meri nigahon me andhera baba

6
Kahti thi Mai yateemi hun mujhpar na waar kar
Ki minnaten bahot ki Zara intezaar kar
Mai de Rahi thi shimr ko bunde utaar kar
Chhine hain be rahem ne magar mujhko maar kar
Ye dard jab padar ko sunaya nasheb me

7
Waiz likhe ga kaun yateema ki bekasi
Lashe shahe Zaman se wo jis dam juda huwi
Lagta tha ab jiye gi na Bachi husain ki
Jane lagi nasheb se jab shah ki ladli
Baba ko apne chor ke tanha nasheb me

Комментарии

Информация по комментариям в разработке