muddat hui hai yaar ko mehmaa kiye huwe noor jahan

Описание к видео muddat hui hai yaar ko mehmaa kiye huwe noor jahan

OTHER HIT SONGS LINK

   • Masoom Sa Chehra hai hum  

   • Raat Saloni Aayi, Baat Anokhi Layi  R...  

   • Tasveer Teri Dil Mein | Lata Mangeshk...  

   • Kash Koi Mujh Ko Samjhata Ahmed Rushdi  

   • Raat Saloni Aayi, Baat Anokhi Layi  R...  

   • Raat chali hai jhoom ke  Waheed Murad...  

   • Janam Janam Tera Mera Saath Rahe  

   • mohabbat ,Ki Qasam ,Tum Ko ,Noor Jeha...  

   • aaj ki mulaqat bas itni_Bharosa1963  

   • Aaj Khushi Se Jhoom Raha Hai Tribute ...  

   • AAJ HAY MEHFIL DEED KE QABIL NOOR JEH...  


01 song Mohabbat Ki Qasam Tum Ko Parai Aag    • mohabbat ,Ki Qasam ,Tum Ko ,Noor Jeha...  
02 song Masoom Sa Chehra hai hum jiske hain deewa    • Janam Janam Tera Mera Saath Rahe  
03 song RAAT CHALI HAI JHOOM KE RAHON KO TERI    • Raat chali hai jhoom ke  Waheed Murad...  
04 song Raat Saloni Aayi, Baat Anokhi Layi    • Raat Saloni Aayi, Baat Anokhi Layi  R...  
05 song Masoom Sa Chehra hai hum jiske hain deewane    • Masoom Sa Chehra hai hum  
06 song muddat hui hai yaar ko mehmaa kiye    • muddat hui hai yaar ko mehmaa kiye hu...  
07 song Yadesh Bakhair Bachpan Main Echo Hd song Ah    • Видео  
08 song Tum Mile Pyaar Re Gori Ke Sar, Pe ,Sajke , Ke, Ahmad Rushdi    • Видео  
09 song jaan-e-tamanna khat hain tumhara | ahmed rushdi    • Видео  
10 song Janam Janam Tera Mera Saath Rahe    • Janam Janam Tera Mera Saath Rahe  

Film : Ghalib
Artist Name : Noor Jahan

lyrics
muddat huī hai yaar ko mehmāñ kiye hue

josh-e-qadah se bazm charāġhāñ kiye hue



kartā huuñ jam.a phir jigar-e-laḳht-laḳht ko

arsa huā hai dāvat-e-mizhgāñ kiye hue



phir vaz-e-ehtiyāt se rukne lagā hai dam

barsoñ hue haiñ chaak garebāñ kiye hue



phir garm-nāla-hā-e-sharar-bār hai nafas

muddat huī hai sair-e-charāġhāñ kiye hue



phir pursish-e-jarāhat-e-dil ko chalā hai ishq

sāmān-e-sad-hazār namak-dāñ kiye hue



phir bhar rahā huuñ ḳhāma-e-mizhgāñ ba-ḳhūn-e-dil

sāz-e-chaman tarāzi-e-dāmāñ kiye hue



bāham-digar hue haiñ dil o diida phir raqīb

nazzāra o ḳhayāl kā sāmāñ kiye hue



dil phir tavāf-e-kū-e-malāmat ko jaa.e hai

pindār kā sanam-kada vīrāñ kiye hue



phir shauq kar rahā hai ḳharīdār kī talab

arz-e-matā-e-aql-o-dil-o-jāñ kiye hue



dauḌe hai phir har ek gul-o-lāla par ḳhayāl

sad-gulistāñ nigāh kā sāmāñ kiye hue



phir chāhtā huuñ nāma-e-dildār kholnā

jaañ nazr-e-dil-farebi-e-unvāñ kiye hue



māñge hai phir kisī ko lab-e-bām par havas

zulf-e-siyāh ruḳh pe pareshāñ kiye hue



chāhe hai phir kisī ko muqābil meñ aarzū

surme se tez dashna-e-mizhgāñ kiye hue



ik nau-bahār-e-nāz ko taake hai phir nigāh

chehra faroġh-e-mai se gulistāñ kiye hue



phir jī meñ hai ki dar pe kisī ke paḌe raheñ

sar zer-bār-e-minnat-e-darbāñ kiye hue



jī DhūñDtā hai phir vahī fursat ki raat din

baiThe raheñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue



'ġhālib' hameñ na chheḌ ki phir josh-e-ashk se

baiThe haiñ ham tahayya-e-tūfāñ kiye hue

Комментарии

Информация по комментариям в разработке