Jazeb - Fight (Official Music Video)

Описание к видео Jazeb - Fight (Official Music Video)

Audio Credits:
Written, Performed & Produced: Jazeb
Mix & Mastered: Jazeb

Video Credits:
Director/Concept: Asad AR
  / asad_ar_films  

Melbourne shots: Sameer Ahsen
  / sameerahsen_14  

Set Photographer & Location: Barik Ather
  / barik.ather  

Socials:
Instagram:   / jazeb.ather  
Facebook:   / jazebather41  
Spotify: https://open.spotify.com/artist/3yhLD...

Lyrics:
Mujh pay hee mera sub say pahla right
Bistar say nikaltay hee zindagi hai aik fight

Manzar man kaa takabur say muakamal safaai

May naa kisi say hoon behter
Aval mujh say hee hay meray saaray bhai

Khuda hee mera sanghi mera dost
Wo sunta hay kahaani meray dill may faraamosh

Kabhi hoon tanhaa aur kabhi hoon may madhosh
Kabhi tou milay gii mujhay zindagi kii khoj

Apno say rekhay gilay banay hay wo khud pay hee bhoj

Umeed bas may rekhoo rab say
Ussi say maangoo her roz

Meray baap saa wo sekht
Aur satar maao saa faroz

Mangoo paesa paaani saa behta heero say saji rolce

Maangoo yellow lamborghini one with the single Exhaust
Mangoo aysi mashhoori k perform keroo sold out shows

Safer aur manzil hay dono judaa
Mujh hee say mukhaatib hay mera khuda

Kabhi tum ko bhi mill jay gaa jahan woo

Naa logo kii nazar kaa sharaf gumaan
Tu apnay hee aap ko tou aazama

Bhool jaa yae dunyaaa kii rawayatay

Aik dinn ho gii shaam
Poora asmaan Roshan teri aarzuu may yoon

Tu sochay gaa, suntay hee naam
Shukar may buss ab tera keroo

Yae duaa samaa baniii
Mujh may hee sazaaa banii

Tu bhii tou thoraaa say hay khafaaa

Hijar k aalam may hay beetay paanch saal
Zikar bhi nahi keray aur naa poochay mera haal

Fikar hay kamanay kiii
Zehn ko sulaanay kii

Poori raat jagaaty mujhay bohot say swaal
Neend nahi aati may nay kii call dost ko

Socha uss say poochoo Pakistan k halaat
Par may hamesha kaboo may rekhoo apnay jazbaat

Nahi pataana tujhay teri bohot aati hay yaad
Bol mera bhai teray kya hay khayaalat

Ghuftugu may mukhtalif ahsaas
Mujhay laga pahlay sii nahi rahi baat

Jab hoti thi baat
Tujh say poori raat

Ab alfaaz hay kum aur khaamosh lamhaat

Dost ab bhi hum per raha naa wo saath

Terri dostii kii qasam

Tujhay rekhoo gaa hameshaa may
Yaado may yaad

Meray yaar

Muhajir k dill may bohot sogh hay
Choray zindagi may uss nay bohot log hay

Jalaa k kashtiya kinaaro pay saari
Chal raha hay wo kisi khoj may

Kabhi dhoop kabhi chaoo
Kabhi sheher kanhi gaoo

Khaanabadosh ussay naa koi hosh hay

Kabhi din kabhi raat
Kabhi serd kabhi baarish

Kaam ker raha hay wo bohot josh say

Yae hee haal hay mera
Jab bhiii dekho mera charha

Tumhay dikhtaa hoon gaa may bohot mauj hay
Per door k dhol tou tumhay lagtay suhaanay

Dill may tou meray bhi bohot chot hay
Teen raato say may hoon ab jaagha lagadaar

Meri aankhay hay numb sheher khamosh hay
Per musik say banay gii meri pahchaan

Iss weqet mera qalam aafroz hay

Safer aur manzil hay dono judaa
Mujh hee say mukhaatib hay mera khuda

Kabhi tum ko bhi mill jay gaa jahan woo

Naa logo kii nazar kaa sharaf gumaan
Tu apnay hee aap ko tou aazama

Bhool jaa yae dunyaaa kii rawayatay

Комментарии

Информация по комментариям в разработке