Ishq Me Tere Kohe Gham | Kalaam | Huzur Qibla Hazrat Shah Niyaz Ahmad R.A

Описание к видео Ishq Me Tere Kohe Gham | Kalaam | Huzur Qibla Hazrat Shah Niyaz Ahmad R.A

Ishq mein tere kohe gham, sar pe liya jo ho so ho
Aish'o nishaat'e zindagi, chhod diya jo ho so ho

Mujh se mareez ko tabiib,haath too apna mat lagaa
Isko khuda pe chod de,bahr'e khuda jo ho so ho

Aql ke madrase se uth, ishq ke maikade mein aa
Jaam'e fanaa'o bekhudi, ab to piya jo ho so ho

Hijr ki jo museebatein arz kiin uske rubaru
Naaz'o adaa se muskura kehne lagaa jo ho so ho

Hasti ke is saraab mein raat ki raat bas rahe
Subh'e adam huaa numoo, paaon uthaa jo ho so ho

Dunia ke nek'o bad se kaam, humko niyaz kuch nahin
Aap se jo guzar gaya, use kia jo ho so ho

Kalaam | Huzur Qibla Hazrat Shah Niyaz Ahmad R.A

Комментарии

Информация по комментариям в разработке