Logo video2dn
  • Сохранить видео с ютуба
  • Категории
    • Музыка
    • Кино и Анимация
    • Автомобили
    • Животные
    • Спорт
    • Путешествия
    • Игры
    • Люди и Блоги
    • Юмор
    • Развлечения
    • Новости и Политика
    • Howto и Стиль
    • Diy своими руками
    • Образование
    • Наука и Технологии
    • Некоммерческие Организации
  • О сайте

Скачать или смотреть तोते की सलाह || Parrot suggestion Bedtime stories collection rsk Hindi stories

  • Chandamama Tv - Hindi
  • 2020-06-09
  • 600117
तोते की सलाह || Parrot suggestion Bedtime stories collection rsk Hindi stories
Entertainmentrsk hindi storiesparrotparrot suggestionhindi stories collectioncompilationhindi storiesstories hindihindi kahaniyamagical pot kahaniyamoral stories hindihindi moral storieshindi short storieshindi talesgrandma stories hindipanchatantra stories hindistory timehindi cartoon storyhndi kahani cartoonpanchatantra storiesindian talesstories from india
  • ok logo

Скачать तोते की सलाह || Parrot suggestion Bedtime stories collection rsk Hindi stories бесплатно в качестве 4к (2к / 1080p)

У нас вы можете скачать бесплатно तोते की सलाह || Parrot suggestion Bedtime stories collection rsk Hindi stories или посмотреть видео с ютуба в максимальном доступном качестве.

Для скачивания выберите вариант из формы ниже:

  • Информация по загрузке:

Cкачать музыку तोते की सलाह || Parrot suggestion Bedtime stories collection rsk Hindi stories бесплатно в формате MP3:

Если иконки загрузки не отобразились, ПОЖАЛУЙСТА, НАЖМИТЕ ЗДЕСЬ или обновите страницу
Если у вас возникли трудности с загрузкой, пожалуйста, свяжитесь с нами по контактам, указанным в нижней части страницы.
Спасибо за использование сервиса video2dn.com

Описание к видео तोते की सलाह || Parrot suggestion Bedtime stories collection rsk Hindi stories

तोते की सलाह || Parrot suggestion Bedtime stories collection rsk Hindi stories
#तोतेकीसलाह #parrotsuggestion #hindimoralstories

Tote ki salah.....
Ek baar ek jungle me ek shikaari ayaa tha. Wo apna jaal ek ped ke niche daal kar dur baithkar chupke se use dekhne laga. Kuch der baad uske jaal me ek bechaara tota fas gaya.ye dekh kar shikaari jaal ke paas wapis aagaya. Usne tote ko apne haat me liya aur kaha.....
MAN - ahhhaaaa ye to bohot swadisht hoga.....
Us tote ko wo apne saath lejaana chahta tha.tote ko uski baat sunkar bohot dar laga . Par usne himmat jutayi aur kaha ...
PARROT- ohhh shikaari mai itna chota hu . Agar tum mujhe khalo to naa tumhari bhuk mitegi naa pet bharega ... Tum mujhe jaanedo . Mai tumhe teen anmol salah dungi. Pehli salah tumaare haat par baitkar dunga . Dusri salah thodi dur zameen par baithkar dunga aur teesre salah ped ke daal par baithkar dunga. Meri ye teen salaho ko agar sunoge to tum apni zindagi khushi se bitaa paoge....
Tote ki baat sunkar shikaari kuch der sonchne laga . Phir kaha....
MAN - ha ye baat to sahi hai ise khakar mera pet nahi bharega .ise jaane deta hu . Ye mujhe salah bhi to de raha hai . Isse shayad meri zindagi asaan hojaaye....
Usne tote ko azaad kardiya....tota turant uske haath par baith gaya aur kaha...
PARROT- pehli salah ye hai ki ... Asambhav chizo pe kabhi vishwaas nahi karna chahiye.....
Shikaari iss salah ke baare me sonch hi raha tha ki tota ud gaya aur dur jaakar zameen par baithgaya...aur kaha...
PARROT- dusri salah ye hai ki ....jo guzar gaya uspar kabhi afsos nahi karna chahiye....
Teesri salah dene ke liye wo ped ki daal par baith gaya.... Aur kaha.....
PARROT- teesri salah ye hai ki.... Mere pet me bohot saara sona hai agar tum use lelete to tumhari 7 peediya aaram se baith kar khaa sakti thi....
Usne aapni baato se shikaari ko sonchne par majboor kardiya.shikaari ye baat ke baare me sonchkar kehne laga.....
MAN- maine tum par bharosa kiya tha par tumne mujhe dhoka diya...
Shikaari dukhi hogaya...use dukhi dekh kar tote ne kaha ....
PARROT- tumne meri saalah nahi samjhi maine kaha tha na jo asambhav hai uspar kabhi vishwaas nahi karna chahiye....phir mere itne se pet me sona hoga ye tumne kaise vishwaas karliya .... Agar mere pet me sona hota to jab tumne mujhe pakda tha tumhe mere bhaar se khud pata chal jaata .....
Tote ki baate sunkar shikaari sharminda hogaya .....
PARROT- jo guzar gaya uspar kabhi afsos nahi karna chahiye maine kaha tha na .ab mujhe chodne ka afsos q kar rahe ho.....
Shikaari ke man ki baat tote se sunkar ab wo aur zyada sharminda hogaya aur kaha .....
MAN- thik hai mai ab se tumhari har salah maanunga ab teesri salah bhi dedo na .....
Ye sunkar tote ne kaha ...
PARROT - chahe koi bhi hame kitni salah q na de hame jo cheez sahi lagti hai hame hamesha wahi karni chahiye.....
Itna kehkar tota turant waha se udd gaya .....
Is kahani se hame ye sikhsa milti hai ki....
Agar hame kisi salah se fayda hota hai tabhi wo salah maanni chahiye......
Subscribe :

   / @chandamamatv2  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке

Похожие видео

  • О нас
  • Контакты
  • Отказ от ответственности - Disclaimer
  • Условия использования сайта - TOS
  • Политика конфиденциальности

video2dn Copyright © 2023 - 2025

Контакты для правообладателей [email protected]