Kabhi Aye Nowjawan Muslim (Allama Iqbal)

Описание к видео Kabhi Aye Nowjawan Muslim (Allama Iqbal)

Allama Iqbal's message to Muslim youth

Kabhi Ae Naujawan Muslim, Tadabbur Bhi Kiya Tu Ne
Woh Kya Gardoon Tha Tu Jis Ka Hai Ek Toota Huwa Tara

Tujhe Iss Qoum Ne Pala Hai Aghosh-e-Muhabbat Mein
Kuchal Dala Tha Jis Ne Paon Mein Taj-e-Sar-e-Dara

Tamaddun Afreen, Khallaq-e-Aaeen-e-Jahandari
Woh Sehra-e-Arab Yani Shutar-Banon Ka Gehwara

Sama ‘Al-Faqru Fakhri’ Ka Raha Shan-e-Amarat Mein
‘Baab-o-Rang-o-Khal-o-Khat Che Hajat Rooye Zaibara’

Gadai Mein Bhi Woh Allah Wale The Ghayoor Itne
Ke Mun’em Ko Gada Ke Dar Se Bakhshish Ka Na Tha Yara

Gharz Main Kya Kahun Tujh Se Ke Woh Sehra Nasheen Kya The
Jahangeer-o-Jahan Dar-o-Jahan Baan-o-Jahan Aara

Agar Chahon To Naqsha Khainch Kar Alfaz Mein Rakh Dun
Magar Tere Takhiyyul Se Se Fazoon Tar Hai Woh Nazara

Tujhe Aaba Se Apne Koi Nisbat Ho Nahin Sakti
Ke Tu Guftar Woh Kirdar, Tu Sabit Woh Sayyara

Ganwa Di Hum Ne Jo Aslaf Se Meeras Payi Thi
Surreya Se Zameen Par Asman Ne Hum Ko De Mara

Hukumat Ka To Kya Rona Ke Woh Ek Aarzi Shay Thi
Nahin Dunya Ke Aaeen-e-Musallam Se Koi Chara

Magar Woh Ilm Ke Moti, Kitabain Apne Aaba Ki
Jo Dekhain In Ko Yourap Mein Tou Dil Hota Hai Seepara

"Ghani Rouz-e-Siyah-e-Peer-e-Kanaan Ra Tamasha Kun
Ke Noor-e-Didah Ash Roshan Kunan Chashm-e-Zulekhara”

Voice: Noman Shah

#najawan #kabhiayenaujawanmuslim #allamaiqbalsongs #poetry #islam #iqbal #aye #muslimyouth #Allama #urdupoetry #علامہ_اقبال #kalam_e_iqbal #تدبر_بھی_کیا_تو_نے #کبھی_اے_نو_جواں_مسلم #khitabbajawanan_e_islam #اردو_شاعری #rekhta #تدبر_بھی_کیا_تو_نے #کبھی_اے_نو_جواں_مسلم #allamaiqbal #allamaiqbalpoetry

Комментарии

Информация по комментариям в разработке