Meri Maa Tum Mera Gham Na karna | Farhan Naqvi | Hazrat Ali Asghar Noha | 6th Muharram Noha

Описание к видео Meri Maa Tum Mera Gham Na karna | Farhan Naqvi | Hazrat Ali Asghar Noha | 6th Muharram Noha

Meri Maa Tum Mera Gham Na karna - Farhan Naqvi - Hazrat Ali Asghar Noha - 6th Muharram Noha - shahadat hazrat ali asghar - 6th muharram noha



✔️Reciter: FARHAN NAQVI
✔️Poet : ANWAR KAAAL
✔️Video: Hussain Production
✔️Audio: Shahzaib Studio
✔️Chorus: Own Rizvi & Team
✔️Media Partner: Muhammad Rizvi

🎧 You can also listen us at Sound Cloud:

  / farhan-naqvi-o.  .

Also available on:
Google play Music
ITunes
Spotify
Sound Cloud



Noha Lyrics
Poet : Anwar Kamal Alllahabadi India

☆Mairi Maa Tum Maria Gham Na Karna.
Apni Ankhon Ko Bhi Num Na Karna.
Lash Par Mairi Matam Na Karna.

Be Zuba'n Nay Ye Jhoolay Sey Awaz Di.
Apnay Asghar a.s Ka Lou Ab Salam Aakhri.

☆Run Mai Jis Waqt Halmin Ki Gonji Sada.
Muztarib Ho Gaya Sheh Ka Mah e Laqa.
Khaima e Shah Mai Shor e Girya'n Utha.
Apni Maa Sey Isharon Mai Kehny Laga.

Mairay Baba Ko Ab Hai Zarorat Mairi.
Unkay Hathon Pay Hogi Shahadat Mairi.

☆Farz Ansaar Apna Ada Kar Chukay.
Tegh Khah Kar Giry Soye Kausar Gye.
Aek Abid a.s Hain Bas Wo Hain Ghash Mai Parey.
Kon Baba a.s Ki Ja Kar Madad Ab Karey.

Run Ko Jana Hai Ab Zimmey Dari Mairi.
Aa Gai Jaan Deny Ki Bari Mairi.

☆Lash e Qasim a.s Kay Meda'n Mai Tukrey Hoye.
Maa Ki Ankhon Sey Lekin Na Ansoo Bahey.
Jaan Deney Phuppi Kay Gye Ladley.
Shukr Kay Wastey Maa Nay Sajjdey Kiye.

Mai Hon Asghar a.s Magar Azm Akbar a.s Ka Hai.
Mairi Rag Rag Mai Bhi Khoon Haider a.s Ka Hai.

☆Bolna Tak Abhi Mujhko Aya Nahi.
Nannhey Hathon Nay Koch Bhi Uthaya Nahi.
Teero Shamsheer Mai Nay Chalaya Nahi.
Jang Karna Kisi Nay Sikhaya Nahi.

Mairy Hathon Mai Neza Na Talwar Hai.
Bas Ye Sokhi Zuba'n Maira Hathiyar Hai.

☆Maira Baba a.s Hai Fujo'n Mai Tanha Ghira.
Uski Nusrat Ko Jana Hai Farz Maira.
Run Sey Any Lagi Almadad Ki Sada.
Kaat Dena Laee'n Haye Sokha Gala.

Mairy Rehty Magar Aesa Mumkin Nahi.
Mai Ulat Donga Ye Aasma Or Zamee'n.

☆Roz e Mehshar Ye Pochengi Jab Fatima s.a.
Apny Asghar a.s Ka Fidiya Na Tum Nay Dia.
Maira Shabbir a.s Mara Gaya Be Khata.
Ab To Lillaha Do Mujhko Izn e Wigha.

Chalna Seekha Nahi Hai Magar Jaonga.
Mai Tumhey Surkhooroo Aj Kar Jaonga.

☆Jitna Dil Chahey Ro Mairy Baba Pay Ro.
Nojawani e Akbar a.s Ka Noha Parho.
Jis Kay Shany Katy Uska Matam Karo.
Maira Kia Hai Sono Mairi Madar Sono.

Chey (6) Mahinay Ka Hon Koch Bhi Dekha Nahi.
Soch Lena Mai Duniya Mai Aya Nahi.

☆Mairi Khwahar Sakina s.a Ko Batlaye.
Ab Na Ayengy Ammo a.s Ye Samjhaye.
Rath Aye To Seenay Sey Liptaye.
Maira Gham Choriye Usko Behlaye.

Koi Zid Hi Karonga Na Ruo'nga Mai.
Ab Sey Baba a.s Kay Seenay Pay Suo'nga Mai.

☆Dekhi Madar Nay Anwar Jo Lashey Pisar.
Gham Sey Dil Phat Gaya Gir Pari Khak Par.
Rokay Kehny Lagi Peet Kar Apna Sar.
Aey Mairy Laal Aey Mairy Noor e Nazar.

Dekh Kar Tera Ghehwara Jee Longi Mai.
Keh Gye Ho To Ab Ashk Pee Longi Mai.

Mairi Maa Tum Maira Gham Na Karna.

Shukr e Mola A.S

#HazratAliAsghar #FarhanNaqvi #6thMuharram


Term and Policy:
⚠️This video is protected under the international Digital Millennium copyright©️ act. • All Rights of Noha artwork, logo, audio & video are reserved by Farhan Naqvi. • All Rights for Worldwide and Online sale and distribution are reserved by Farhan Naqvi Copying, re-distribution, and editing of any kind is prohibited and will be an infringement of copyright.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке