Zahra (s) ka bhi jaani baqi hai | New Manqabat Imame Zamana (as) 2024 | Talib Allahabadi

Описание к видео Zahra (s) ka bhi jaani baqi hai | New Manqabat Imame Zamana (as) 2024 | Talib Allahabadi

Weldate Imame Zamana (as) ke munasibat se New Manqabat

Kalam: Zahra ka bhi jani baqi hai
Poet: Talib Allahabadi
Reciter: Talib Allahabadi

Mariyam(as) ka pisar bhi Zinda hai Zahra (sa) ka bhi jani baqi hai
Padhni hai namaz unke piche ummid purani baqi hai

Har dushmane Haider ka pina hai khoon usay bhi waqte qetal
Shamshire Ali (as) ke honto ki to tashna dahani baqi hai

Hota na agar husne Maula khairat na pata koi bhi
Mahdi(as) ke tasadduq mai abtak yousuf (as) ki kahani baqi hai

Bedast dilawar ke armaa pura wo krega aane par
Surat mai Imame Mahdi (as) ke Abbas (as) ka sani baqi hai

Ashoor ko ghum mai piyaso ke ho jate ye dariya khushk magar
Har saal arize ayenge iss shauq mai pani baqi hai

Uththega jo ghaibat ka parda dekhenge sabhi ahle nafrat
Tasveer Mohammad (sa) ki lekar Akbar (as)ki jawani baqi hai

Hai waqt jama’at ka bhi qareeb Maula ki ziyarat hogi naseeb
Pani pe musalle ki Talib dariya ki rawani baqi hai

#manqabat2024 #manqabatimammehdi #yaimamezaman
#15shabanstatus #newmanqabat #yazahra #yaali #yahussain #shianeali

Комментарии

Информация по комментариям в разработке