DASHANAN - A song by WE-SHESH | Dussehra special | WE-SHESH | New rap song 2023

Описание к видео DASHANAN - A song by WE-SHESH | Dussehra special | WE-SHESH | New rap song 2023

DASHANAN - A rap song by Vishesh Jain.

This song depicts the imagination of the writer, where the writer imagines what would The demon king RAVAN would've said when he was alive and if he was alive today. Listen and enjoy the song and do not forget to like, subscribe and share as much as possible. Thank you so much and wish you all a very Happy Dussehra.

Credits:-

Song:- Vishesh, TrapTheRap
lyrics:- Vishesh, TrapTheRap
Editing:- Vishesh
music and beats:- ‪@ItsAkrBeats01‬

Beat link:-    • Indian Classical Drill Beat | Indian ...  

Lyrics:-

Dashahare me jalta ravan
bas itna tumse puchta hai
kya aj bhi hai koi jo
meri tarah shankar ko poojta hai
tum aam manushya jalaate mujhko
kya yeh mera apmaan nahi
mein daave se keh sakta hoon
iss bheed me koi bhi ram nahi...

dus the sheesh tabhi naam dashanan
lankapati lankesh mein ravan
shiv aradhya hain mere
aur pita the gyaani bramhan X4

Ram nahi banna hai mujhko
ravan hi tum rehne do
paap kare mene anginat
thode kashta mujhe bhi sehne do
thar thar kaanpti dharti mere
kadmon ki aahat se
asuron ka me raja hoon,
mujhe rakshas hi tum rehne do

Inn badi bhujaon ne meri
parvat kailash uthaaye hain
yam, indra, varan, sab
mere baanon se ghabraye hain
lankapati lankesh me
apni praja ka me hi raja hoon
Dhan ke dev kuber bhi mere
vaar se na bach paaye hain

mujh sa pandit mujh sa yodhha
duniya me na dooja hai
apne sheesh kat kat
shankar ko mene pooja hai
chaaron vedon ka gyaata mein
mujh sa na vidvaan koi
itna gyaan aur bal paakar karta
kese na abhimaan koi?

Mere apnon ne bhi
mujhse mukh mod rakha
paap punya kiya lada mara
par ahankaar na chhod saka
amar toh tha aur balshaali itna
ke koi kuch na kar paaye
par kahavat tumne suni hogi
Ke ghar ka bhedi lanka dhaaye

dus the sheesh tabhi naam dashanan
lankapati lankesh mein ravan
shiv aradhya hain mere
aur pita the gyaani bramhan x2

Ehsaas mujhe bhi tha ke
Ram nar nahi sadharan hai
indrajeet bhi keh gaya
ke voto narayan hain
Maara gaya par ek bhi sir
jhukne na diya gaurav itna
aj bhi Ram ke sath
yaad kiya jaata Ravan hai

Bramha ke diye vardaan se
kaal bhi mera latka hai
ansuni kar baat meri
shani pairon me atka hai
Yudh haar gaya hoon mein
par jeet hui meri isi baat pe
ke maarne ko mujhko
bhagwan bhi dar dar bhatka hai

Har saal jalate mujhko tum
dekh bhagwaan bhi sharminda hai
ke marta toh sirf putla hai
Ravan toh aj bhi zinda hai...👺

Комментарии

Информация по комментариям в разработке