Sheeri Mera Ghar Ujad Gaya | Rehan Jalalpuri I New Noha Muharram 1446/2024

Описание к видео Sheeri Mera Ghar Ujad Gaya | Rehan Jalalpuri I New Noha Muharram 1446/2024

Karbobala Me Sheeri Mera Ghar Ujad Gaya | Rehan Jalalpuri I New Noha Muharram 1446/2024

👉Reciter - Rehan Jalalpuri
👉Poet - Zaigam Jalalpuri
👉Chorus - Ali Asghar & Team
👉Year - 2024/1446 Hijri
👉Audio - (Sachin Verma)
👉Video - Azadari Chitora
👉Edit - Zahid Ali
👉Media Partner - Ya Zehra Tv Network (‪@YaZehraTVNetworkBangalore‬ )
👉Special Thanks - Anjuman Sajjadiya Jalalpur (Dr. Aaftab Raza)
👉LYRICS:-
Naize se roke di sare shabbir a.s ne sada
Karbobala mein Shiri Mera ghar ujad Gaya

Woh dekh thodi dur pe zainab s.a hai be Rida
Karbobala mein Shiri Mera ghar ujad Gaya
1
Maqtal mein teen Roz ka pyasa rakha mujhe
Phir uske baad sar Mera khanjar se kaat ke
Le aayi dekh fauje sitam samne tere
Lashe ko mere ghodon se pamal kar diya
Karbobala mein Shiri.......
2
Zakhmo se choor hoke Jo ghode se main gira
Laasha tha Mera teeron ke upar ruka hua
Bebas tha main na ek bhi karwat badal saka
Teeron pe mera jism tadapta hi rah gaya
Karbobala mein Shiri........
3
Seene pe aake baitha Jo shimre laeen mere
Jitne the teer neeche woh upar nikal pade
Har zakhm se nikalte the fawware khoon ke
Bechain ho ke kahti thi maqtal mein fatima s.a
Karbobala mein Shiri.......
4
Wada Kiya tha Maine ki ek Roz aaonga
Ye dekh Maine wada bhi apna wafa Kiya
Milne ko Aaj tumse tere Ghar main Aa Gaya
Bas farq hai ki jism se sar hai Mera juda
Karbobala mein Shiri.......
5
Wo dekh sar Jo ghode ki gardan mein hai bandha
Aankhon ko isliye wo nhi apni kholta
Har ek gaam par use aaye na kyu haya
Zainab ko dekhe kis tarah Haye wo be rida
Karbobala mein Shiri.......
6
Main leke sabko saath mein aaya hun Ghar tere
Shiri ye ek kaam agar tujhse ho sake
Chadar bahen ke sar pe meri laake dal de
Sar nange Aa Rahi hai use raah mein haya
Karbobala mein Shiri.......
7
Seene mein naiza is tarah Akbar ke toota tha
Main khainchta tha phir bhi nahi wo nikalta tha
Aankhon ke samne meri Akbar tadapta tha
Khoone jigar me apne naha kar wo mar gaya
Karbobala mein Shiri........
8
Asghar ko Maine dafn Kiya qabr khod ke
Phir bhi na usko sone diya Haye chain se
Zalim ne sar qalam Kiya laasha nikal ke
Aaya na rahm phool se bachhe pe bhi Zara
Karbobala mein Shiri......
9
Jakdi hai dekh nanhi sakina s.a wo oonth par
Mar Jaye na sisak ke wo lagta hai mujhko dar
Jis din se uske kaano se chheene Gaye gohar
Kahti hai roke aao Kahan ho mere chacha
Karbobala mein Shiri.......
10
Gardan mein tauk Aabide Muztar a.s ke dal kar
Kaanton pe khaichte hue chalte the ahle shar
Langar se zakhmi ho gayi bimar ki qamar
Guzra jidhar se ho Gaya wo surkh rasta
Karbobala mein Shiri........
11
Zaigam suni Jo Shiri ne ye Shah ki daastan
Dil bekarar ho Gaya aansu huye rawan
Boli woh sar ko Peet ke jaon main ab Kahan
Ye inqelab kaisa zamane me aagaya
Karbobala mein Shiri .......
"Aaqa ye mere kaisi mosibat guzar gayi"





#newnoha2024 #rehanjalalpuri #yahussian#yaabbas #muharram #noha2024 #karbala #makkah #madina #karbobalamesheerimeragharujadgra #sheer #sheerimeragharujadgya #karbalastatus #yazainabس #yaabbas #yaali #yarasoolallah

Комментарии

Информация по комментариям в разработке