Farhan Ali Waris | Haider Haider | Manqabat | 2015

Описание к видео Farhan Ali Waris | Haider Haider | Manqabat | 2015

Farhan Ali Waris | Haider Haider | Alif Say Yeh Tak Ali Ali | Manqabat | 2015
Fahan Ali Waris is a Pakistani based Famous Noha Khuwan who is well known around the globe. He is known for his Nohay, Manqabats and Naats. To get in touch with Farhan Ali Waris latest activities. Do Subscribe Farhan Ali Waris Official Youtube Channel
Follow Us On Facebook:   / farhanawarisofficial  
Subscribe To Youtube:    / syedfarhanaliwaris  

Haider Haider Manqabat Lyrics

Haider haider haider
Ali wali ki wila ke aseer baithe hai
Qasam khuda ki sabhi ba zameer baithe hai
Bani thi 13 rajab ek lakeer kaabe me
Usi lakeer ke saare faqeer baithe hai

Haider haider haider haider..(2)

Nafse nabi zehra ka shauhar
Haider haider haider haider..(2)

Fatahe khaibar kaabe ka gauhar
Haider haider haider haider..(2)

1. Waqt e zahoor kareeb jo aaya
jhoom ke ye kehne laga kaaba
tere liye hi bana hai ye ghar

2. Haider se mansoob jo hoga
usko khuda mitne nahi dega
dekh lo khud kaabe me jaakar

3. Padh de agar zinda ka janaza
zinda bhi hojata hai murda
zinda kare fir maar ke thokar

4. Zinda hai duniya me ye kehkar
Meesam, qambar malik e ashtar
marte kaha hai tere naukar

5. Naade ali padhkar jo pukara
palke idhar jhapki aur aaya
karne madad bus ek sadaa par

6. Har gham har mushkil me pukara
momin ka hai ek hi naara
har lamha dum mast qalandar

Hoo.....gar
'alif' se lo insaan ali
'be' se kaamil burhan ali
'te' se tatheer ki jaan ali
'se' se saqlain ki shaan ali
har maqfi baat ka raaz ali
aur
'jeem' se paak jawaaz ali
maqdoor ali taqdeer ali
'hay' se haq ki tasweer ali
'khay' se khatmul qarrar ali
aur khaliq ka shahkaar ali
shahzada e husn o jamal ali
're' se rehbar har haal ali
waahid ki qasam wajid bhi ali
aur 'ze' se hai zahid bhi ali
be badal ali baaqi bhi ali
mera 'seen' se hai saaqi bhi ali
sucha sacha kaafi bhi ali
aur 'sheen' se hai shaafi bhi ali
hai 'swaad' se sadiq zikr e ali
aur 'zwaad' se zamin fikr e ali
'to' se tarfain me noor e ali
'zo' se purnoor zahoor e ali
rutba hai khuda ke wali ka ali
aur 'ain' se naam ali ka ali
hai 'ghain' se paak ghani bhi ali
'fe' se fazl e rabbi bhi ali
mera 'qaaf' se qibla ali ali
mera 'kaaf' se kaaba ali ali
gar 'laam' se pucho kya hai ali
lau laakh ki paak fiza hai ali
hai 'meem' se shane maa bhi ali
aur man kunto maula bhi ali
hai 'noon' se noor e khuda bhi ali
'waaw' se wajhullah bhi ali
sunlo ainullah peer ali
aur 'ye' se yadullah peer ali
eemaan ali eeqaan ali
sultaan ali meri jaan ali

kaunain ali ke qadmo me
darain ali ke qadmo me
sibtain ali ke qadmo me
saqlain ali ke qadmo me
tauqeer ali ke qadmo me
taqdeer ali ke qadmo me
har peer ali ke qadmo me
shabbeer ali ke qadmo me
izzat bhi ali ke qadmo me
azmat bhi ali ke qadmo me
rif'at ali ke qadmo me
shaukat ali ke qadmo me

hai dehr me noore hayat ali
parwanae pulle siraat ali
kaliyo ki chatak me ali ali
daali ki lachak me ali ali
chidiyo ki chahak me ali ali
phoolo ki mehek me ali ali
ummeed ali taeed ali
har mast malang ki eid ali
hamid hammad hameed ali
mehtaab ali khursheed ali
taaro me ali pyaro me ali
qur'aan tere paaro me ali
har momin ke naaro me ali
noori bhi ali anwar bhi ali
hazir bhi ali nazir bhi ali

hasnain ka baba ali ali
kaabe ka kaaba ali ali
hai abr e karam bhi ali ali
ahmad ka bharam bhi ali ali
rehman ki hai saugaat ali
bin badal ke barsaat ali
shurfa ki jamaat me ali ali
har sachi baat me ali ali
hijrat ki raat me ali ali
salwaat salaat me ali ali
bhatko to sahara ali ali
doobo to kinara ali ali
nabiyo ne pukara ali ali
meri aankh ka taara ali ali
maula e qambar ali ali
aqa e abuzar ali ali
waliyo se badh kar ali ali
dum mast qalandar ali ali..(3)
tu qabr se bahar jo karle..(2)
teri qabr ke andar ali ali, ali ali, ali ali

Haider haider haider haider

7. Jabke malango ki mehfil hai
midhat par maael har dil hai
kyu na kahe farhan aur mazhar

Haider haider haider haider..(2)

Nafse nabi zehra ka shauhar
Haider haider haider haider..(2)

#HaiderHaider #FarhanAliWaris #NewManqabat2015

Комментарии

Информация по комментариям в разработке