#vijaymallya #scammer #bjp #modi #defaulter
Escape of Vijay Mallya
Vijay Mallaya jo 2016 me bharat ke 17 banks ka 9000 crore rupay lekar bhag gaya, kaise usne itna bada scam kiya, kyun sarkar usse rok nahi paayi, aur kyun wo bhag kar UK hi gaya,
Vijay Mallya 28 saal ki umar me apne pita ke baad UB group jisse Kingfisher bhi kaha jata hai ke chairman bane,
2005 me Kingfisher ne airlines ki shuruaat ki, aur isse shuru karne ke liye kayin banks se loan liya, jisme sabse pehele tha sbi, phir uco bank, pnb, idbi, bank of baroda, united bank of india,
Kingfisher airlines ki services ko behtar karne ke liye vijay mallya, loan pe loan leta ja raha tha, lekin return nahi kar raha tha, rajya sabha se mp hone ki wajah se usse political support bhi mil raha tha,
2012 me kingfisher airlines loss me rehne ki wajah se band ho gayi,
2014 me pehli baar united bank of india ne vijay mallya ko willful defaulter announce kiya, uske baad pnb aur sbi ne bhi usse defaulter ghoshit kiya,
2015 me income tax deptt ne vijay mallya par 115 cr tax na dene ka aarop lagaya, ye appeal jaise hi tax deptt bombay high court lekar gaya, Vijay mallay march 2016 me UK bhag gaya,
UK govt waha ki economy me invest karne par, UK me rehene ka visa de deti hai, isiliye vijay mallya UK bhaga,
Indian govt ne UK govt ko appeal kiya ki Vijay mallya ko india laya ja sake, aur banks ka jo paisa hai usse recover kiya jaa sake,
2018 me london court ne Vijay Mallya ko India extradate karne ka order diya, aur 2020 me uski india na jaane ki appeal ko reject kar diya,
Lekin abhi bhi sarkaar vijay mallya ko india wapis nahi la payi hai
Информация по комментариям в разработке