Night Safari Experience in Panna Tiger Reserve | Virtual Safari with Discover Wild Paws

Описание к видео Night Safari Experience in Panna Tiger Reserve | Virtual Safari with Discover Wild Paws

Toh jaise humare night safari guide Shubham ne humara swagat kiya, waise hi hum aapka swagat karte hain aaj ki iss anokhi video mein. Anokhi islie kyunki aaj hum aapko pehle baar ghar baithe ghane jungle ki night safari ka experience denge.

Ye humari zindagi ki pehli night safari thi aur iss video mein hum aapko Panna ke dono buffer zone ki night safari karwaenge aur uske baare mein bhi batenge. Abhi video ki shuruat ki ye Safari “Jinnah” naam ke buffer zone mein hai.

Shuru ke 5-7 kilometer ka raasta tay kar hum forest check post pe pahonche jahan se hum jungle ke core zone mein pravesh karne wale the. Jinnah buffer mein kuch gaon wale bhi base hain aur islie aapko yahan bike se ghumte gaon wale dikh sakte hain.

Jungle ke andar pahonche toh hume mila ek Geedad, yaani ki Golden Jackal. Kyunki geedad ek scavenger hai, yaani ki zyadatar ye khana khane ke liye mare hue jaanwaron ko dhundta hai aur unhi ko khata hai. Kabhi kabhi ye chote mote shikaar bhi kar lete hain.

Apne issi jeevanshaili ke kaaran ye jab bhi aapko jungle mein dikhayi dega, humesha apna muh neeche zameen ki orr kar sunghta hua idhar se udhar ghumta hua dikhega. Iss tarqeeb se ye apne liye khana dhundta hai. Waise toh geedad ko darpok maana jaata hai par issne humko kaafi samay diya.

Jab tak ye geedad decide kare ki usko karna kya hai, main aapko ye bata dun ki Panna mein night safari sirf Buffer zones mein hoti hai. Aur Panna mein do buffer zones hain – Jinnah aur Akola.

Humne ek shaam safari Jinnah mein kari aur ek shaam Akola mein. Inn dono zones mein fark ye hai ki Jinnah mein aapko kaafi wildlife dikhne ke chances hain, jaise ki tendua, bhaloo, hyena, rusty cat. Aur Akola ki khaasiyat hai wahan ki lantana ke ped.
Lantana ke ped aise hote hain jaise ki ek natural gufa. Aur aisi Gufa baagh ke chupne ke liye perfect hai. Islie Panna mein night mein baagh ki sabse zyada sighting Akola mein hoti hai. Abhi ke samay Akola mein 6-7 alag alag baagh ki territory hai.

Kuch der ke baad ye jackal apne raaste nikal gaya aur hum apne. Bohot se log ye sochte hain aur humse puchte bhi hain, ki aakhir aise raat ko andhere mein jab bina torch ke saamne kuch bhi nahi dikhayi de raha, toh itne ghane jungle ke andar khuli gadi mein sawaari karna kitna safe hai?

Dekho aisa toh nahi hai ki raat ko jungle jaane mein jokhim nahi hai. Zaroor hai. Magar aap agar expert guide driver ke saath jayen aur bilkul bhi shor na karen, toh aapka khatra apne aap kam ho jaega. Kyunki khatra toh pahaad chadne mein bhi hai, sky diving mein bhi hai, fir bhi log thrill ke liye bohot kuch karte hi rehte hain.

Aas pass itna andhera tha ki humare peeche agar koi jaanwar ho bhi toh bhi hume pata na lage. Aaiye aapko camera ke lens se dikhate hain ki hum kis jaanwar ko shoot kar rahe the. Bohot saal pehle yahan ek purana resort hua karta tha, jahan se walking safari bhi hoti thi.

Lomdi. Jungle mein din mein lomdi dikhne ki bohot hi kam sambhavna hoti hai. Aur wahin raat mein ye sab nocturnal animals ekdum active ho jaate hain. Yakeen maniye, ye lomdi lagbhag 5-6 kilometer tak humare saath chali.

Iss safari mein hum sirf aur sirf baagh ko dhundne nikle the. Kyunki Akola mein night safari mein baagh ki sighting bohot achi hoti hai. Akola mein do saal pehle Heera aur Panna ne bohot zabardast sighting di thi. Yahan tak ki gaon wale shart laga ke aate the tourists se ki bhaisaab baagh dikhe toh hi paise dena.

Par pichle saal hi sunne mein aaya ki inme se Heera electric current se mar gaya aur Panna kahin peeche ko nikal gaya. Islie Akola mein ab Heera Panna ke bass kisse hi reh gaye. Aapko samay mile toh dekhiyega zaroor Heera aur Panna ki sighting.
Akola ki safari mein aap sadak ke dono taraf baagh ko dhund sakte ho. Iss taraf kuch na milne pe hum dusri orr jaane lage.

Night safari mein sirf baagh, tendua aur bahlooo hi nahi, balki bohot se aise pakshi bhi dikhte hain jo ki aapko kabhi bhi din mein dikhayi nahi denge. Aur itne toh aise hote hain, jinke hume naam tak nahi pata. Jaise hume night jar toh kayi saare dikhe.

If you liked this video, please subscribe to our channel Discover Wild Paws:
   / @discoverwildpaws  

Social Media Links:
Instagram:   / discoverwildpaws  
Twitter:   / discoverpaws  
LinkedIn:   / discover-wild-paws  
Facebook:   / discoverwildpaws  

#wild #attack #animals #cruelty #crocodile #shorts #leoaprd #africa #discoverwildpaws

Комментарии

Информация по комментариям в разработке