Nasir Jehan - Musafiron Ko Madina Salam Kahta Hai

Описание к видео Nasir Jehan - Musafiron Ko Madina Salam Kahta Hai

Musafiron ko Madina salam kahta hai
Faraaze Arshe muallah salam kahta hai
Yeh kaun jata hai, Kaba Salam kahta hai
Musafiron ko Madina salam kahta hai

Musafiron ko Madina salam kahta hai

Hussain* yeh karam e kaarsaaz kya kahna
Durood o ishq o salaam e niyaz kya kahna
Yeh husn ki nigahe imtiyaz kya kahna
Kisi ka jalwae yakta salam kahta hai

Musafiron ko Madina salam kahta hai

Kidhar se dard ke malik hawaae dard aai
Yeh kiski aah tarapkar faza meiN lahraai
Chale ho leike kidhar naazishe Masihaai
Koi mareez tumhara salam kahta hai

Musafiron ko Madina salam kahta hai

Yeh jaante haiN baney ho rahe riza ke liye
Bahot dinoN se ho be'chayn Karbala ke liye
Hussain* murke zara deikh lo, Khuda ke liye
Rawaqe mashHade Zehra* salam kahta hai

Musafiron ko Madina salam kahta hai

Nazar ke haiN ye ishare zuban nahiN khulti
Kisi ke dard ke maare, zuban nahiN khulti
Nabi* ke raaj dulare Zaban nahiN khulti
DiloN ka dard e Masiha salam kehta hai

Musafiron ko Madina salam kahta hai

Salam leejiye Aaqa, ab apne bandoN ka
Har eik qaum ke, millat ke, haq pasandoN ka
Salam saare zamane ke dard mandoN ka
Hussain* sara zamana salam kahta hai

Musafiron ko Madina salam kahta hai

Комментарии

Информация по комментариям в разработке