Yaar ko hamne ja ba ja dekha |Kalam |Hazrat Shah Niaz Ahmad R.A

Описание к видео Yaar ko hamne ja ba ja dekha |Kalam |Hazrat Shah Niaz Ahmad R.A

Yaar ko hamne ja ba ja dekha,
Kahin zaahir kahin chhupa dekha.

Nukta-e-imaan se waaqif ho,
Chehra-e-yaar ja ba ja dekha.

Kahin mumkin hua kahin waajib,
Kahin faani kahin baqa dekha.

Deed apne ki thi use khwahish,
Aap ko har tarah bana dekha.

Dekhta aap hai sune hai aap,
Na koi uska ma siwa dekha.

Soorat-e-gul mein khilkhila ke hansa,
Shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha.

Shama ho kar ke aur parwana,
Aap ko aap mein jala dekha.

Kar ke daawa kahin anal haq ka,
Bar sare daar wo khincha dekha.

Tha woh bartar shuma-o-ma se ‘Niyaz’,
Phir wohi ab shuma-o-ma dekha.

Kahin begaanavash nazar aaya,
Kahin surat se aashna dekha.

Kahin hai badshah-e-takht nashin,
Kahin kaasa liye gada dekha.

Kahin aabid banaa kahin zahid,
Kahin rindon ka peshwa dekha.

Kahin woh dar libaas-e-mashooqaan,
Bar sare naaz aur ada dekha,

Kahin aashiq ‘Niyaz’ ki soorat,
Seena biryaan-o-dil jala dekha.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке