URL for Naat, Salam, Marsiya:
http://uk.youtube.com/view_play_list?...
kAr diya tu ne yeh saabit, aey dilaawar 'aadmi
zindagi kya, maut se leita hai takkar 'aadmi
kaat sakta hai rAg e gardan se khanjar 'aadmi
lashkaron ko raUnd sakte haiN bahattar 'aadmi
zoaf dha sakta hai, qasr'e afsaro aurAng ko
aab_geen'e toaR sakte haiN hisaare sAng ko
Aey Hussain* abtak tera naqshe qadam ta'bindah hai
Zinda hai, pa'indah hai,ta'zindah hai, rakhshandah hai
Raushan o pa'indah o ba'lindah o bakhshindah hai
Gaamzan tu jispa tha, woh jaadah ab tak zindah hai
Zau'figan hai zehn ke har band par, har joard par
Shama jo ta'bindah hai, teiri gali ke moard par
Aey Hussain* ibne Ali*, aey Sayyed e yazdaN sifaat
Nooe se tere jhamakti hai, jabeene ka'enaat
Mahev ho jaaein agar, duniya se teire waaqeaat
Gumbad e tareekh par cha jaaey haibatnaak raat
Bhool sakta hi nahiN insaan, qurbaani teri
Haafze ke farq ka jhoomar hai peishaani teri
Phir bashar ke zehn par aks e junooN hai, ya Hussain*
Phir haqeeqat rehn e auhaam o fusooN hai, ya Hussain*
Phir dil e aqdaar e nazuk, gharq e khooN hai, ya Hussain*
Phir bashar baatil ke aage sar nigooN hai, ya Hussain*
Aa dil e anjaam ko phir garmiye aaghaaz de
Aey bahadur, waqt ki aawaaz par aawaaz de
Aey mujahid rooh, phir seenoN ko de soaz o sharar
Aey muqaddas tashnagi, mawwaj ho sar se guzar
Aey payamber maut, anokhi zindagi ban kar ubhar
Aey muqarrir khamoshi mimbar pa aa, taqreer kar
Aey lahoo, phir qashqaey peishaaniye kirdaar ban
Aey jarahat, miyan se bahar nikal, talwaar ban
Deikh phir qaar e jahannum ban chuka hai roazgaar
AaNch meiN ghaltida hai phir khaimaey layl o nahaar
Phir zameeN par hukmaraaN hai ba'hazaraaN iqtadaar
Aatish o dood o dukhaan o shola o sharq o sharaar
Zindagi hai, bar'sar e aatash fishaani, ya Hussain*
Aag duniya meiN lagi hai aag, paani ya Hussain*
Информация по комментариям в разработке