Deewan-e-Ghalib(# 115). Dil Hi to Hai Na Sang-o-Khisht [Mirza Ghalib]. Read by Vikas Phonsa

Описание к видео Deewan-e-Ghalib(# 115). Dil Hi to Hai Na Sang-o-Khisht [Mirza Ghalib]. Read by Vikas Phonsa

dil hī to hai na sang-o-ḳhisht dard se bhar na aa.e kyuuñ
ro.eñge ham hazār baar koī hameñ satā.e kyuuñ

dair nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ
baiThe haiñ rahguzar pe ham ġhair hameñ uThā.e kyuuñ

jab vo jamāl-e-dil-faroz sūrat-e-mehr-e-nīm-roz
aap hī ho nazāra-soz parde meñ muñh chhupā.e kyuuñ

dashna-e-ġhamza jāñ-sitāñ nāvak-e-nāz be-panāh
terā hī aks-e-ruḳh sahī sāmne tere aa.e kyuuñ

qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ
maut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ

husn aur us pe husn-e-zan rah ga.ī bul-havas kī sharm
apne pe e'timād hai ġhair ko āzmā.e kyuuñ

vaañ vo ġhurūr-e-izz-o-nāz yaañ ye hijāb-e-pās-e-vaza'
raah meñ ham mileñ kahāñ bazm meñ vo bulā.e kyuuñ

haañ vo nahīñ ḳhudā-parast jaao vo bevafā sahī
jis ko ho diin o dil aziiz us kī galī meñ jaa.e kyuuñ

'ġhālib'-e-ḳhasta ke baġhair kaun se kaam band haiñ
roiye zaar zaar kyā kījiye haa.e haa.e kyuuñ

https://www.rekhta.org/ghazals/dil-hi...

#mirzaghalib #ghalib #ghalibkishayari #shayari #ghazal #urdupoetry #urdushayari

Комментарии

Информация по комментариям в разработке