yahaan badla wafa ka, bewafaai ke siwa kya hai- Muhammad Rafi & Noor Jahan -Movie :JUGNU -(1947)

Описание к видео yahaan badla wafa ka, bewafaai ke siwa kya hai- Muhammad Rafi & Noor Jahan -Movie :JUGNU -(1947)

Singers : Muhammad Rafi & Noor Jahan
Music : Feroz Nizami
Lyrics : Tanveer Naqvi
Movie : JUGNU-(1947)

yahaan badlaa wafaa kaa bewafaai ke siwaa kyaa hai

muhabbat karke bhi dekhaa, muhabbat mein bhi dhokhaa hai

kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kyaa thaa, abhi kyaa hai
yoon hi duniyaa badalti hai, usi kaa naam duniyaa hai

tadapne bhi nahin deti, hamein majbooriyaan apni

muhabbat karne waalon kaa tadapnaa kisne dekhaa hai
muhabbat karke bhi dekha muhabbat mein bhi dhokha hai

bade armaan se waadon ne dil mein ghar basaaya tha-2

wo din jab yaad aate hain, kaleja munh ko aata hai

yahan badla wafa ka bewafai ke siwa kya hai

kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kyaa thaa, abhi kyaa hai

muhabbat karke bhi dekhaa, muhabbat mein bhi dhokhaa hai

yoon hi duniyaa badalti hai, usi kaa naam duniyaa hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kyaa thaa, abhi kyaa hai

muhabbat karke bhi dekha muhabbat mein bhi dhokha hai

bhula do wo zamaana jab mujhe apna banaya tha

bhula do naam-e-ulfat jab tumhaare lab pe aaya tha

bhula do o bhula do
bhula do wo qasam jo dilayi thi kabhi tumne

bhula do wo qasam jo ke khai thi kabhi tumne

bhulaa do dil se tum, guzare hue rangeen zamaane ko

bhula do, haan bhula do ishq ke saada fasaane ko

tamannaaon ki basti mein, andhera hi andhera hai

kise apna kahen koi jo apna thaa paraayaa hai

yoon hi duniyaa badalti hai, usi kaa naam duniyaa hai
kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kyaa thaa, abhi kyaa hai

muhabbat karke bhi dekha muhabbat mein bhi dhokha hai
yahaan badlaa wafaa kaa bewafaai ke siwaa kyaa hai
yahaan badlaa…
******************************************************************
Copyright owners : saregama
On behalf of: Saregama India Limited
******************************************************************

Комментарии

Информация по комментариям в разработке