Ek aur geet mere travel observations me se. Batana kaisa laga ?
Song Credits :
Writer, Singer : Rahgir
Music : Young H (Harsh Vyas, Jodhpur)
Stream the song on Spotify, Apple Music, Amazon Music, Hungama and Jio Saavn.
Follow on Instagram for live shows updates and upcoming songs :
Rahgir : https://www.instagram.com/rahgirlive/...
Young H : https://www.instagram.com/younghoffic...
Lyrcs :
Highway 27 tha, Main bike par sawaar tha, Rafaar 90 paar thi,
Soch raha tha ye wali ya pichle walli, Zyada ghatiya kaunsi sarkaar thi,
Donon or baajre ki fasal peeli pad rahi thi,
Duniya dekh ke mere mann ki khaal neeli pad rahi thi,
fir bhi soch raha tha koi khushi ka geet gungunane ko,
mann me tooti footi hi sahi, bachi hui koi taar thi,
Highway 27 tha, Main bike par sawaar tha, Rafaar 90 paar thi,
Soch raha tha ye wali ya pichle walli, Zyada ghatiya kaunsi sarkaar thi,
Ki Tabhi....
Ek tilti aakar lagi, mere helmet ki screen par,
ek dhabba wahin ban gaya, ek katra gira meri jean par,
ek pankh wahin tha chipka, ek pankh kahin tha hawa mein,
us kachhi maut ka shayad, tha iklauta gawaah main,
fir laga sochme main, ki wo maada thi ki nar tha,
kya uske bhi the bachhe, kya uska bhi koi ghar tha,
fir yaad aaya ki,
pichle mod par,
kisi board par,
vigyapan ke bajoo me thodi jagah chhodkar,
likha hua tha,
Raftaar jaanleva hai.
Rahgir
Rahgir, Rahgirlive, Rahgir live, beta rahgir, Raahgeer, ye jo hans rahi hai duniya, kachha ghada, mere gaon aaoge, samajh gaye ya samjhaun, aahil, kaisa kutta hai, new indie songs, indian indie, aadmi chutiya hai, kya jaipur kya dilli, kanya manya kurr, sun bachhe, rahgir ke gaane, Raftaar, Titli,
Информация по комментариям в разработке