Naya Ek Reshta Paida Kyun Karen Hum |

Описание к видео Naya Ek Reshta Paida Kyun Karen Hum |

naya ik rishta paida kiyun karain ham

bicharrna hai tu jhaggra kiyun karrain ham

khamoshi say ada ho rasm e durri

koi hangama barpa kiyun karrain ham

ye kafi hai kay ham dushman nahi hain

wafa dari ka dawa kiyun karain ham

wafa ikhlas qurbani muhabbat

ab inn laffzon ka peecha kiyun karrain ham

zulekhaye azizan baat yeh hai

bhalla ghatty ka sauda kiyun karain ham

hamari hi tamana kiyun karo tum

tumhari hi tamana kiyun karain ham

kiya tha ehad jab lamhon main ham nay

tu sarri umer aifa kiyun karain ham

utha kar kiyun na phainkain sari cheezain

faqt kamron main tehlla kiyun karain ham

nahi duniya ko jab parwa hamari

tu phir duniya ki parwa kiyun karain ham

barhana hain sar e bazar tu kiya

bhalla andhon say parda kiyun karain ham

hain bashinday issi basti kay ham bhi

so khud pay bhi bharosa kiyun karain ham

parri rehnay do insanon ki lashain

zamen ka bojh halka kiyun karain ham
















#abrarkashifshayari #urdupoetry #whatsappstatus #abrarkashif #abrarkashifpoetry #parizaad #romanticwhatsappstatus #urdushayaristatus #romaticstatus #jashnerekhta #jauneliapoetry #jaunelia

Disclaimer: Please note no copyight infringement is intended, and i do not own or claim any of the music and voice recording used in this video.

Copyright Disclaimer: - Under section 107 of the copyright Act 1976, allowance is mad for FAIR USE for purpose such a as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship and research.
Fair use is a use permitted by copyright statues that might otherwise be infringing. Non- Profit, educational or personal use tips the balance in favor of FAIR USE.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке