Pls give credits if you use my song.
#onepiece #song #fansong
Instagram - https://www.instagram.com/senpaispeak...
Sing along :-
Ek topi, ek vaada, ek kashti ... Ek erada,
Par dil mein thi tasveer, us manzil ki kahani.
Jahan naam hamara, itihaas banega,
Jahan har koi ek din kahega—
“Dekho, wo Pirate King aa gaya!”
Raaste mushkil, samandar bhi gehra,
Kabhi sang aayi aandhiyaan behka ke humein.
Dost chhute, dushman mile,
Par hum dare nahi, hum ruke nahi!
“Jo lehron se takrayega, wahi to paar jayega!”
“One Piece tak jo jayega, wahi Raja kehlayega!”
Jo khoya, jo paaya, samandar gawah hai,
Ye topi uthegi—vaada raha hai!
Kabhi Marineford ki aag jali,
Kabhi apno se bhi doori mili.
Par kandhe pe haath tha, saath tha koi,
Har toofaan mein chamka ye dosti ka roi.
Zoro ne seekha dard ko peena,
Sanji ne jaana ghar kya hota hai.
Nami ne phir se nakshay banaye,
Robin ne apne zakhm chhupaye.
Par hum sabne milke kasam ye khai,
“Jahan tak lehrain, wahan tak ladai!”
Yaad hain wo din jab chhote the hum,
Ek chhoti si kashti, samandar the kam.
Ab jahaz bada hai, duniya bhi nayi,
Par dil ab bhi wahi, sapne bhi wahi!
“woh lehron se takrayega, wahi toh paar jayega!”
“One Piece tak woh jayega, wahi King kehlayega!”
Jab tak lehrain, jab tak ye aasman,
Ye topi uthegi—vaada ye raha
Информация по комментариям в разработке