Dil-e-Bezaar | A Poetical Odyssey | Samar | EP 1

Описание к видео Dil-e-Bezaar | A Poetical Odyssey | Samar | EP 1

This Is Our First Ever Video With A New Beginnings.Basically it's All About Literature And Poetry.So This Is Some Poetry Which Is Taken From A Book "Dile Bezaar"Written By Samar Munir.Actually This Book Is Not Officially Published.So We Are Publishing It On Social Media With A New Vision.

Written And Created By : ‪@SamarMuniir‬
Shots By : Farhan And Awais
Cinematography : ‪@Heero.Official‬
Artwork By : Heero

Poetry Captions ;
Na Mein Hoon Misl-e-Chiraag Na Koi Jalti Mishaal Hoon
Ik Shabe Tareek Hoon Udaas Hoon Vabaal Hoon
Kya Mein Hoon Khuli Kitab Ya Ik Raaz Hoon Sawal Hoon
Na Mein Kisi Qalb Ki Tamanah Na Hi Kisi Ki Aas Hoon
Hai Dill Firaq Mein Mubtila Mein Visaal Ki Raat Hoon
Kya Mein Hoon Gulistan Ki Shaan Ya Ik Murjhaya Gulab Hoon
Mein Koi Mazi Ka Mozuh,Ya Falsafa Hoon Afsana Hoon
Kya Mein Hoon Koi Shajre Saya Dar Ya Ujra Dyar Hoon
Hoon Koi Qissa-e-Bahar Ya Dasht Ik Weran Hoon
Kyun Sab Tang Hain Mujhse Kya Mein Hareef-e-Jaan Hoon
Kya Mein Hoon Be Rang Ya Qose Qazah Hoon
Kya Mein Harf-e-Akhir Hoon Ya Ibtida Hoon Aghaz Hoon
Ik Lehar Hai Taghaiyar Ki Ya Jeet Ka Koi Imkaan Hoon
Hai Shehrug Se Qareeb Tar Jo Der-o-Haram Khuda Dhoondta Hoon
Ik Musanif Hoon, Shayar Hoon, Adeeb Hoon, Ya Koi Kalakaar Hoon
Mein Muntiq Hoon, Tu Munsif Hai,Madai Hai,Mein Hi Gunahgar Hoon
Majrooh Hai Qalb Be Lagam Qalam Aur Mein Hijar Kay Hisaar Mein Hoon
Hoon Ghamon Ka Wasih Samundar Ya Mehaz Ik Dile Bezaar Hoon

Kay Saqi Le Chal Mujhe Der-o-Haram Thak Chuka Hoon Reh Kar Mai Khanon Mein
Ab Waqat Hai Kay Sajday Mein Giroon Kya Paya Mein Ne Reh Kar Qayam Mein
Kya Tujhse Mil Payein Ge Kabhi Ya Ranjishein Aur Bhi Hain Vasal Ki Raah Mein
Kya Ab Bhi Koi Jafa Baki Hai Ya Mein Hoon Qarb Ki Intiha Mein
Tum To Ho Roshan Mehtab Ki Manind Aur Andhere Aiyan Hon Mujh Mein
Ayy Dile Nadaan Ab Na Hogi Dastak In Darwazon Par Na Reh Kisi Rabt (ربط) Ki Aas Mein
Tum To Qissa-e-Mukhtasir Thay Iss Bazme Bahar Ka Humne To Zamane Guzare Hain Khalwat Mein
Mujhe Lagta Tha Kay Hai Wafa Jawedaan Shayad Raha Mein Madhoshi Kay Alam Mein
Ab Kesey Rasayi Ho Meri Mujh Tak Ho Chuka Hoon Khud Se Lapata Mein
Hijar Kaate Hain Darbadar Bhatkey Hain Raha Musafit Mein Ik Muhajir Mein
Kya Abhi Bhi Uss Gali Ki Khaak Hoon Ya Chal Diya Sooye Daar Mein
Hain Tere Shehar Kay Log Batil Parast Aur Haq Ki Awaz Mein
Sitam Gar Ho Tum Aur Jafa Kash Hoon Mein
Yeh Qarwaan Chal Diya Kis Simat Raha Manzar Mein Wahid Mein
Hai Lashkar Kay Hathon Mein Taigo talwar Aur Faqat Qalam Uthaye Phirta Mein
Kay Woh Jo Ehd-e-Rafaqat Kartey Thay Woh Sab Mere Mukhalif Hain
Ik Bikhra Hua Khuwab Mein Imtihan Mein Ya Koi Wafa Ka Piyaam Mein

Manayein Woh Eidain Hokay Humse Muntashir
Rahey Dard Mein Tum Aur Ayy Dill Mein Mustakil
Kabhi Tum Bhi Thay Humse Munsalik
Haseen Hain Qisse Muhabbat Kay Aur Kahani Mukhtasir
Taweel Hai Gham Ki Sham Aur Ham Baade Subah Kay Muntazir

Комментарии

Информация по комментариям в разработке