Nohay 2024 | ABBAS E ALAMDAR | Hashim Sisters | Mola Abbas Noha 2024 | Muharram Nohay 2024/1446

Описание к видео Nohay 2024 | ABBAS E ALAMDAR | Hashim Sisters | Mola Abbas Noha 2024 | Muharram Nohay 2024/1446

Mola Abbas Noha 2024 | New Nohay 2024 | Abbas e Alamdar Hai Saqqa e Sakina | Hashim Sisters New Noha 2024 | Isteghasa Mola Abbas 2024 | Muharram Nohay 2024 / 1446

Reciters | Hashim Sisters
Noha Title | Abbas e Alamdar Hai Saqqa e Sakina
Poet | Tauqeer Zaidi (Ind)
Composition | Hashim Sisters
Audio | Pure Vocal Studios (Ahmed Sherrif)
Video | Subhan Ali Hisbani
Post Production | Manzar Zaki
Cover Work | AR Graphics
Special thanks | Kashan e Haideri (London)
Album | 2024/1446

☆ On the arrival of Muharram 1446 Exclusive Noha o Isteghasa on "Mola Abbas (as)" Abbas e Alamdar Hai Saqqa e Sakina - 2nd Noha of Muharram Album 2024/1446 " Abbas e Alamdar " Recited by Hashim Sisters ☆

#nohay2024 #abbasealamdar #hashimsisters #molaabbas #hazratabbas #imamhussain #muharram #muharram2024 #muharram1446 #newnohay2024 #newnoha #noha #karbala #molaabbasnoha #noha2024 #muharramnohay #ashura #babulhawaij #isteghasa

====================
Follow on Social Media Accounts:-
YouTube |    / @hashimsistersofficial  
Facebook |   / hashimsisters  
Instagram |   / hashimsistersofficial  
TikTok |   / hashimsisters.official  
WhatsApp Channel | https://whatsapp.com/channel/0029VajM...
=============================

LYRICS ~
Alam kay saeey mein aao
Zari se chasm lagaao
Ghazi Abbas kahenge
Jo bhi hai dard sunaao

Parcham Ka Pharehra
Lehra Ke Ye Bola
Abbas-e-Alamdar Hai Saqqa-e-Sakeena

Hajat-Rava Hai'n Aaphe Bigdi Banaeye
Babul-Hawaej Aap Hai'n Qismat Jagaeye x2
Har Har Qadam Pe Girte Hai'n Maula Uthaeye
Hum Sabko Zalimeen Ke Shar Se Bachaeye

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar

Qasim Ka Wasta Ali Asghar Ka Wasta
Dete Hai'n Ham-Shabihe-Payambar Ka Wasta x2
Bint-e-Ali-e-Zainabe-Muztar Ka Wasta
Shahe-Wafa Ke Lasha-e-Besar Ka Wasta

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar

Deedar e Karbala ki hai jin jin ko chahatein
Rakhte hain jo dilon mein ziyarat ki hasratein
Beemar hai miskeen hain jinko hain diqqatein
Jinko Naseeb hon a sakin aisi sadatein

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar

Hum sab kay madadgar bana dijiey zawwar
Hum khanaaey barbaad sun lijiey faryaad
Hain aap nigehbaan
hain aap saeybaan

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar

Abbas ka wajood hai be misl bemisaal
Abbas ka nahin hai koi sahib e kamaal
Hashim ka wo Qamar hai to Ummul Banin ka laal
Abbas mein hai fatahae khaibar ki chaal daal

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar

Woh josh woh jalal who haibat woh aab o taab
Abbas hi Shujaat o hikmat ke aaftaab
Abbas hi to mehr o kufa ke hai mahatab
Abbas hi to josh e amal ki hai ik kitab

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar

Abbas Ki Haibat Se Sabhi Bhaage The Aada
Jhapki Jo Palak Ho Gaya Tha Ghaat Pe Qabza x2
Ek Lamhe Me'n Sairab Hui Mashk-e-Sakeena
Paani Na Ba-Wafa Ne Piya Reh Gaya Pyasa

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar

Ek Teer Laga Ankh Me'n Farzand-e-Ali Ke
The Hath Kahan Ghazi Usey Kaise Nikale x2
Chaha Ke Nikale Usey Ghutno'n Ke Sahare
Humla Hua Sar Par Tabhi Ek Gurz-e-Gira'n Se

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar
CHORUS

Abbas Ka Nauha Jo Kaha Tumne Ay! 'Tauqeer'
Karti Thi'n Baya'n 'Hashmi Behne' Wahi Tehreer x2
Zaano'n Pe Rakhe Bhai Ka Sar Kehte The Shabbeer
Aaqa Na Kaho Bhai Kaho Ay! Mere Humsheer

Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar

Комментарии

Информация по комментариям в разработке