Tarpan 10 तर्पण १० | Ansoo I आँसू | Jaishankar Prasad I Dr Kumar Vishwas

Описание к видео Tarpan 10 तर्पण १० | Ansoo I आँसू | Jaishankar Prasad I Dr Kumar Vishwas

तर्पण १० | जयशंकर प्रसाद
शोक से श्लोक में परिवर्तित हुई कविता की धारा जब जब पीड़ा के आँगन में पहुँची है हृदयों की परम निधि में ढल गई है !वेदना का प्रवाह अपने चरम पर हो तो कालजयी कविता का जन्म होता है। यदि आपने कभी कलम में स्याही की जगह पर आँसू भर कर रच देने की कल्पना की हो तो महाकवि जयशंकर प्रसाद की कालजयी रचना कामायनी के 'आँसू' सर्ग का का यह अंश सुनें।

Tarpan 10 | Ansoo | Jaishankar Prasad
Ever imagined to refill your pen, not with ink but with tears? Mahakavi Jaishankar Prasad travels through extremities of your pain (and that of his own, of course) and comes out with this unmatched array of emotion, 'Aansoo'

Is karunaa kalit hriday me
Ab vikal raagini bajati
Kyon hahakaar svaron me
Vedna aseem garajati?

Aati hai shoonya kshitij se
Kyon laut pratidhvani meri
Takrati bilkhaatee-si
Pagali-si deti pheri?

Chhil-chhil kar chhaale phode
Mal-mal kar mridul charan se
Dhul-dhul kar bah rah jate
Aansoo karunaa ke kan se

Abhilaashaon ki karvat
Phir supt vyatha ka jagana
Sukh ka sapna ho jana
Bheegi palko ka lagna

Jo ghanibhut peeda thi
Mastak me smrti-si chhaayi
Durdin me aansoo bankar
Vah aaj barasane aayee

Ro-rokar sisak-sisak kar
Kahta mein karun kahani
Tum suman nochate sunte
Karte jaani anajani

Jhanjha jhakor garjan tha
Bijalee thi nirad-maala
Paakar is shoonya hriday ko
sabane aa dera dala

Bijalee maala pahane phir
Muskyaata tha aangan me
Haan, kaun baras jata tha
Ras boond hamare man me?

Gaurav tha, neeche aaye
Priyatam milne ko mere
Mein ithala utha ankinchan
Dekhe jyon svpan savere

Shashi-mukh par ghoonghat dale
Anchal me deep chhipaye
Jeevan ki godhooli me
Kautoohal se tum aae

Lyrics : Jaishankar Prasad
Vocals and Composition : Dr Kumar Vishwas
Music Arrangement : Band Poetica
All Rights : KV Studio

Follow us on :-
YouTube :-    / kumarvishwas  
Facebook :-   / kumarvishwas  
Twitter :-   / drkumarvishwas  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке