Aye Shair e Nayastaan e Hyder Abbas Nauha lyrics

Описание к видео Aye Shair e Nayastaan e Hyder Abbas Nauha lyrics

If you want any lyrics of Nauha please mention in the comment box of this video. Insha Allah i will try to upload as soon as possible. Thanks for watching my videos

Nauha lyrics

Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas
Deti thi Sada zainab rokar Abbas

Kya isi Din ke liye Maangi thi Baba ne Dua
Aake pardes me hojaoge tum hum se juda
Sothe ho chain se dariya ke kanaare Bhaiyya
Kya Sunaayi nahi Deti tumhe halmin ki sadaa (Abbas)
Tanha hai khade run may sarwar (Abbas) *2
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Gir ke ghode se sadaa baap ko Akbar ne jo di
Dilbar-e-Fathema Zehra ki ajab haalat thi
Haath malthe the Kabhi ghaat ko thakte the kabhi
thaamkar tooti kamar kehte the farzande Nabi (Abbas)
Laoon Kaise Laasha-e-Akbar (Abbas) *2
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Haal Shabbir ka Ab toh Nahi dekha jaata
Hai kamar qam nahi Aankho se sijhaayi detha
Yeh zaeefi Yeh jawan laal ka Sadhmaa Bhaiyya
Thaamlo baddke Zara haath tumhi bhaayi ka (Abbas)
Khaathe hai tokhar par tokhar (Abbas)  *2
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Kya isi din ke liye saath behen thi aayi
Aagayi neend jo Dariya ki taraayi paayi
Phir palatkar hamey surath bhi nahi dikhlaayi
Aagaya run se Alam tum nahi aaye bhaayi (Abbas)
Phat tha hai mera sadme se jigar (Abbas) *2
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Aye mere Shair-e-jawan Aye mere Bhaayi ho kahaa
Shaaq hai dil pa tumhaari Yeh judayee ho kahaa
Der se dethi hoon bhaiyya mai duhaayi Hoon kahaa
lut thi hai Fathema Zehra ki kamaayi ho kahaa (Abbas)
Khanjar hai halq-e-Sarwar par (Abbas)  *2
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Hai qayaamat ka samaa loot hai khaimoun me machi
Koyi pursa nahi haalath hai ajab bachchoun ki
Taaziyane koi khaata hai tamaache koi
Aag daaman me hai masoom Sakina ke lagi (Abbas)
Bhaiyya utto lo jald khabar (Abbas) *2
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Azmath-o-izzat sadaat bhulaadi bhaayi
Aag Khaimoun me layeenou ne lagaadi bhaayi
Masnadh-e-Ahmad mursal bhi jaladi Bhaayi
Touq-o-zanjeer bhi Abid ko pinhaadi bhaayi (Abbas)
Ghash me hai pada mera dilbar (Abbas) *2
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Bhaayi ko bhool gaye dhyaan na behno ka raha
Yaad aaya na koi paayi jo dariya ki havaa
Haaye kis dil se kiya tum ne gavaara bhaiyya
Har tamaache pa Sakina ne tumhe yaad kiya (Abbas)
Jab chhine gaye kaanon se gauhar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Chhod kar dasht-e-museebath me Behan ko bhai
tum ne achcha hi kiya dur basaayi basti
Dekh sakte the kaha tum jo thi haalath meri
Balva-e-aam may bhaiyya mai khule sar hoon khadi (Abbas)
Aada legaye Sar se chaadar (Abbas) *2
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas

Комментарии

Информация по комментариям в разработке