Saans Kya Hai - Importance of Breath - What is Breathing in Urdu - Ruhaniyat in Urdu

Описание к видео Saans Kya Hai - Importance of Breath - What is Breathing in Urdu - Ruhaniyat in Urdu

Asslam o Alailum Nazeen hum aap ko humary is channel Allah Ki Pehchan mein khush aamded kehty hain.
Saans Kya Hai - Importance of Breath - What is Breathing in Urdu - Ruhaniyat in Urdu
aaj hum INSHAALLAH Allah Taala ki di hoi tofeeq se jis mozu par baat krain ge wo ye hai ke saans kia hai saans ki ibtadaa kaha se hoi aur muraqbaa mein saans ki kia ehmeyat hai. Saans. saans kia hai? roz e azal saans ki ibtadaa kesay hoi? saans ka nazool o saod kainaat ki har cheez saans ley rahi hai kia is se taruf hota hai? saans leney aur bahir nikalney se kon sa shaur mazbot hota hai? saans ki gehrai se roshnion ka zaheera? muraqbaa mein saans ka thehrao kun zarori hai?
Saans kai hai?
saans qudrat ki aik khaas nemat hai saans Allah Taala ke noor ki aik roshni hai. aik lehar hia. ye asi lehar hai jis ka brah e raast Allah ke noor se raabta hai isi saans ki wajah se humari zindgi hai. roz e azal saans ki ibtadaa: Quraan Paak mein irshaad bari taala hai jis ka tarjuma ye hai ke phir jab main isay thek banalun aur is mein apni tarf ki rooh phunkun to tum is ke ley sajdey mein girna. is se maloom hua ke jab Adam (AS) ke jism mubarik ko peda farmaya gia to Allah Taala ne is mein apney Khaas tor ki roshni dhali jo phunk ki shakal mein thi ye noor wali phunk hi roz e azal saans ki bunyad hai jo wajood Adam (AS) ke jism mubarik mein dakhil hoi yani humari saans Allah ke noor ki roshni hai. aik lehar hai aik zindgi hai. kainaat ki ye cheez saans lay rahi hai. har kainaat ki har cheez soraj chaan sitarey mueen miqdaron se saans le rahay hain. aik aadmi aik mint mein 16 martba saans leta hai aik gantey mein 960 martba saans leta hai is saans ke qawaneen ko janney ki waja se Aap (S.A.W.W) ne chaand ko do hiso mein taqseem farmaya dia. kun ke Aap (S.A.W.W) is qanoon se waqif they ke chaand ke saans ki miqdaar kai hai itni der saans ko rook kar is mein tasaruf yani tabdeli farmai thi. Allah Taala ne sirf insaan aur jinnaat ko saans mein kami beshi ki quwat ataa farmai hai. saans leney aur saans bahir nikalney se kon sa shaur mazboot hota hai saodi saans - saans gehrai mein lenay se la shaur mazboot hota hai. nazoli saans - saans gehrai mein bahir nikalney se shaur mazboot hota hai saodi saans ki prektis se la shaur ki dunya mein dekhney ke qabil hua ja sakta hia soney ki haalat mein saans gehra hota hai. jagney ki haalat mein nazoli aur saodi harkat dono kaam karti hain yani jagney ki haalat mein prectice kar ke in dono mein thehrao peda kia jasakta hai khushi aur gham ki haalat mein saans ki raftaar boht tez ho jati hai tamam aloom khialaat tasawraat saans ke uper qaim hain. muraqba mein saans ka thehrao kun zarori hai muraqba ki haalat mein saans mein jitna thehrao ho ga. jitni saans leney aur nikalney mein gehrai ho gi. itni hi muraqba mein kamyabi hasil ho gi yani jis cheez ka muraqba mein tasawur kia jaiga is ke nataij behter se behter hon ge. muraqba ke doraan saans ke andar jitni gehrai hogi utna hi rooh ke andar roshnion ka zaheera baray ga. aur roshnion ke zaheeray se la shaur ki dunya mein dakhil honey ke qabil ho jain ge.
Alhamdulillah aaj hum ne saans ke barey mein ghor o fikar kia ke saans kia hai aur kesay is se humari zindgi chal rahi hai saans ki ibtadaa ke barey mein jana. ke is ki ibtadaa roz e azal se Allah ke noor se hoi hai kainaat ki har cheez aik mueen miqdron se saans le rahi hai Allah Taala ne sirf insaan aur jinnaat ko ye quwat ataa farmai hai ke is mein kami beshi kar ke apni salahiton ko behter se behter bana sakain. muraqba ke barey mein ghor o fikar kia muraqba mein saans ki gehrai ki waja se hum zahri fawaid hasil karney ke sath apni zehni salahiton ko barha saktey hain. saans mein gehrai ki waja se hum is shaur mein rehtey huay la shaur mein safar kar saktey hain aur sab se bari nemat ye ke is dunya mein hi reh kar apney maalik ke qareeb ho saktey hain Allah Taala humrey haami o naasir hon.Ameen
humey umeed hai ke aap ko humari yeh koshesh passnd aai ho gi aur agar aap ko humari yeh video passnd ay to plz esy like karin aur esy apny pyarun ke sath share karin aur humary is Channel Allah Ki Pehchan ko zrur Subscribe karin, aap ka bohat bohat shukria.
#AllahKiPehchan #ruhaniyat #ruhaniilam
******************************************************
Plz humey follow karin:
YOUTUBE:    / allahkipehchan  
GOOGLE PLUS: https://plus.google.com/u/0/b/1046609...
TWITTER:   / allahkipehchan  
FACEBOOK:   / allah-ki-pehchan-279747499183560  
*******************************************************

Комментарии

Информация по комментариям в разработке