Hyderabadi Nihari Sira Paya | Authentic Recipe in Hindi - Urdu

Описание к видео Hyderabadi Nihari Sira Paya | Authentic Recipe in Hindi - Urdu

Hyderabadi Nahari Sira Paye | Authentic Recipe in Hindi – Urdu

#hyderabadinahari #nahari #nihari #sirapayanahari #authenticrecipe #winterspecial #bakridspecial #weekendspecial #breakfastspecial

Hyderabad ki Sunday special, winter special aur bakrid special jo saare Hyderabadiyon ki favourite dish hai who hai sire paye ki nahari jo naan ki roti ke saath serve ki jati hai. Yeh dish bahot filling hoti hai. Is liye ise sirf naashte ki dish mein hi shumar kiya jata tha, lekin aajkal koi bhi dish ka waqt muqarrar nahi hai jiski wajah se log kai beemariyon aur cholesterol jaise pareshani se joojh rahe hain. Subah ke waqt nihari khane se yeh din bhar ki bhaag doud mein achhi tarah se hazam ho jati hai. Mai aaj apke liye bahot hi authentic recipe lekar aayi hun, zaroor try kijiye aur apni rai zaroor dijiye.

Saamagri:
Bakre ke paye: 4
Sire ka gosht aur zaban: ek bakre ki
Potli ka masala: 1 packet
Pyaz: 1 medium + 3 medium
Tel: 10 tbsp
Adrak Lehsan Ka Paste: 1 ½ tsp + 1 tbsp
Haldi Powder: 1 tsp
Bareek Namak: 2 tsp ½ tsp
Hara Dhaniya: 1 tbsp + 1 ½ tbsp + sajane ke liye
Kate hue pudine ke patte: 1 ½ tbsp + sajane ke liye
Hari Mirch: 5
Khade masala: 3 laung + 3 elaichi+ 3 dalchini ke chhote pieces + 1 tsp shahzeera
Garam Masala Powder : 1 ½ tsp
Dhaniya Powder : 2 tsp
Lal Mirch Powder : 2 tsp
Gehun ka aata: ½ cup

Комментарии

Информация по комментариям в разработке