Mera Jari Na Raha | Nauha 2020 | Anjuman Sipah-E-Hussaini Bhanauli Sadat |

Описание к видео Mera Jari Na Raha | Nauha 2020 | Anjuman Sipah-E-Hussaini Bhanauli Sadat |

{ 2 Safar 1442/2020 }

Nohay 2020 | Mera Jari Na Raha Meri Rida Na Rahi | Noha 2020 |

New Nohay 1442/2020 Sham E Ghareeba'n Noha 2020 | Ali Mohammad Sultanpuri Nohay 2020

Title - Mera Jari Na Raha Meri Rida Na Rahi | Mola Abbas Noha 2020

Related - Shaam E Ghareeba'n Noha Mola Abbas Bibi Zainab 2020

Reciter - Zuhair Qain sb, Haider Raza sb, Waiz Hasan sb, Abutalib Rizvi sb,

Poetry & Composition - Waiz Hasan Sultanpuri

HashTags:-
#Sipahehussaini #noha #merajarinaraha #noha2020 #meriridanarahi #newnoha2020 #nohanew #shaameghareeban #anjumansipahehussainibhanaulisadat #nohay #nohay2020

Lyrics

Lipat ke baap se kahti thi Saniy e Zahra Mera jari na raha meri rida na rahi

(1) Nahi hai ab koi monis koi mera yawar Nahi hai ab mera Qasim mera Ali Akber Nahi hai ab wo alamdar aur wo lashkar Sitam ne aapki beti ko kar diya tanha

(2) Meri rida ka muhafiz tha jab talak zinda Mai roz chain se soti thi aye mere baba Talaya phirta tha khaimo ka ba wafa mera Ye waqt dekh lo deti hun aaj mai pahra

(3) Khuda se aap ne manga tha jis dilawar ko Jo shahzadi hi kahta tha apne khwahar ko Jo apni jaan samjhta tha meri chadar ko Pada hai uska tarayi pe be kafan lasha

(4) Ye mujhko yaad h jab ghar se mai nikalti thi To ek fauj mere bhaiyon ki chalti thi Hawa bhi khauf se khud apna rukh badalti thi Nhi h ab wo Nigahban meri mahmil ka

(5) Nhi tha dum ye kisi me nazar utha leta Mai jab nikalti thi bazar band hota tha Tha aisa rob mere sher mere ghazi ka Nhi h sar pe mere ab alam ka wo saya

(6) Sena ki nok se chhini gayi meri chadar Lga rahe hain tamache layin has has kar Jo aa raha h sitam dha raha h ji bhar kar Paraya des h aur zalimo ka h nargha

(7) Ye kah ke der talak royi Zainab e dilgeer Aye baba aap ke aane me ho gayi takheer Lahu me dub gaye sab ke sab jawano peer Bs ek din me bhara ghar ujad gaya mera

(8) Jhuka ke sar ko bahut shere kibriya roye Gale laga ke dulari ko murtaza roye Ali ke sath Hasan aur Mustafa roye Tha dardnak aye waiz wo bain Zainab ka

Social Media

Facebook -
  / sipahe-hussaini-101735301469513  

Instagram -
  / sahil_raza_72  

YouTube -
   / @sipahe_hussaini  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке