Roshan Jamal E Yaar Se | Ayaz Ghulam Ali | Sunny Jimmy | Zohaib Hassan | Mehdi Hassan Ghazals

Описание к видео Roshan Jamal E Yaar Se | Ayaz Ghulam Ali | Sunny Jimmy | Zohaib Hassan | Mehdi Hassan Ghazals

#RoshanJamalEYaarSe #AyazGhulamAli #UstadMehdiHassan
Don't forget to Subscribe to join the Ayaz Ghulam Ali Youtube Channel.

'Roshan Jamal E Yaar Se' a beautiful ghazal sung by Ayaz Ghulam Ali, And Sangat on Tabla, Pakistani one of the Best Tabla Player Sunny Jimmy Khan Sb. Originally this Ghazal sung by Ustad Mehdi Hassan Khan Sb.

Song : Roshan Jamal E Yaar Se
Singer : Ayaz Ghulam Ali
Tabla : Sunny Jimmy Khan Sb
Sarangi : Zohaib Hassan

Original Credits:
Singer: Ustad Mehdi Hassan Khan Sb.
Lyrics : Hasrat Mohani

Lyrics:

raushan jamāl-e-yār se hai anjuman tamām

dahkā huā hai ātish-e-gul se chaman tamām

hairat ġhurūr-e-husn se shoḳhī se iztirāb

dil ne bhī tere siikh liye haiñ chalan tamām

allāh-rī jism-e-yār kī ḳhūbī ki ḳhud-ba-ḳhud

rañgīniyoñ meñ Duub gayā pairahan tamām

dil ḳhuun ho chukā hai jigar ho chukā hai ḳhaak

baaqī huuñ maiñ mujhe bhī kar ai teġh-zan tamām

dekho to chashm-e-yār kī jādū-nigāhiyāñ

behosh ik nazar meñ huī anjuman tamām

hai nāz-e-husn se jo farozāñ jabīn-e-yār

labrez āb-e-nūr hai chāh-e-zaqan tamām

nash-o-numā-e-sabza-o-gul se bahār meñ

shādābiyoñ ne gher liyā hai chaman tamām

us nāznīñ ne jab se kiyā hai vahāñ qayām

gulzār ban ga.ī hai zamīn-e-dakan tamām

achchhā hai ahl-e-jaur kiye jaa.eñ saḳhtiyāñ

phailegī yuuñ hī shorish-e-hubb-e-vatan tamām

samjhe haiñ ahl-e-sharq ko shāyad qarīb-e-marg

maġhrib ke yuuñ haiñ jamā ye zaaġh o zaġhan tamām

shīrīni-e-nasīm hai soz-o-gudāz-e-'mīr'

'hasrat' tire suḳhan pe hai lutf-e-suḳhan tamām


ﺭﻭﺷﻦ ﺟﻤﺎﻝِ ﻳﺎﺭ ﺳﮯ ﮨﮯ ﺍﻧﺠﻤﻦ ﺗﻤﺎﻡ
ﺩِﮨﮑﺎ ﮨُﻮﺍ ﮨﮯ ﺁﺗﺶِ ﮔُﻞ ﺳﮯ ﭼﻤﻦ ﺗﻤﺎﻡ

ﺣﻴﺮﺕ ﻏﺮُﻭﺭِ ﺣُﺴﻦ ﺳﮯ، ﺷﻮﺧﯽ ﺳﮯ
ﺍﺿﻄﺮﺍﺏ
ﺩﻝ ﻧﮯ ﺑﮭﯽ ﺗﻴﺮﮮ ﺳﻴﮑﮫ ﻟﺌﮯ ﯾﻴﮟ ﭼﻠﻦ
ﺗﻤﺎﻡ

ﺍﻟﻠﮧ ﺭﯼ ﺟﺴﻢِ ﻳﺎﺭ ﮐﯽ ﺧﻮﺑﯽ، ﮐﮧ
ﺧﻮﺩﺑﺨﻮﺩ
ﺭﻧﮕﻴﻨﻴﻮﮞ ﻣﻴﮟ ﮈُُﻭﺏ ﮔﻴﺎ ﭘﻴﺮﮨﻦ ﺗﻤﺎﻡ

ﺩﻝ ﺧﻮﻥ ﮨﻮ ﭼﮑﺎ ﮨﮯ، ﺟﮕﺮ ﮨﻮ ﭼﮑﺎ ﮨﮯ
ﺧﺎﮎ
ﺑﺎﻗﯽ ﮨﻮﮞ ﻣﻴﮟ ﺑﮭﯽ ﮐﺮﺍﺋﮯ ﺗﻴﻎ ﺯﻥ
ﺗﻤﺎﻡ

ﺩﻳﮑﮭﻮ ﺗﻮ ﭼﺸﻢِ ﻳﺎﺭ ﮐﻲ ﺟﺎﺩﻭ ﻧﮕﺎﮨﻴﺎﮞ
ﺑﮯ ﮨﻮﺵ ﺍِﮎ ﻧﻈﺮ ﻣﻴﮟ ﮐﻮﺋﯽ ﺍﻧﺠﻤﻦ
ﺗﻤﺎﻡ

ﮨﮯ ﻧﺎﺯِ ﺣُﺴﻦ ﺳﮯ ﺟﻮ ﻓﺮﻭﺯﺍﮞ ﺟﺒِﻴﮟِ
ﻳﺎﺭ
ﻟﺒﺮﻳﺰ ﺁﺏِ ﻧُﻮﺭ ﮨﮯ ﭼﺎﮦِ ﺫﻗﻦ ﺗﻤﺎﻡ

ﻧﺸﻮ ﻭ ﻧﻤﺎ ﺳﺒﺰﮦ ﻭ ﮔُﻞ ﺳﮯ ﺑﮩﺎﺭ ﻣﻴﮟ
ﺷﺎﺩﺍﺑﻴﻮﮞ ﻧﮯ ﮔﮭﻴﺮ ﻟﻴﺎ ﭼﻤﻦ ﺗﻤﺎﻡ

ﺍﺱ ﻧﺎﺯﻧﻴﮟ ﻧﮯ ﺟﺐ ﺳﮯ ﮐﻴﺎ ﮨﮯ ﻭﮨﺎﮞ
ﻗﻴﺎﻡ
ﮔُﻠﺰﺍﺭ ﺑﻦ ﮔﺌﯽ ﮨﮯ ﺯﻣﻴﻦِ ﺩَﮐﻦ ﺗﻤﺎﻡ

ﺍﭼﮭﺎ ﮨﮯ ﺍﮨﻞِ ﺟﻮﺭ ﮐﺌﮯ ﺟﺎﺋﻴﮟ ﺳﺨﺘﻴﺎﮞ
ﭘﮭﯿﻠﮯ ﮔﯽ ﻳﻮﮞ ﮨﯽ ﺷﻮﺭﺵِ ﺣُﺐِ ﻭﻃﻦ
ﺗﻤﺎﻡ

ﺳﻤﺠﮭﺘﮯ ﮨﻴﮟ ﺍﮨﻞِ ﻣﺸﺮﻕ ﮐﻮ ﺷﺎﻳﺪ
ﻗﺮﻳﺐِ ﻣﺮﮒ
ﻣﻐﺮﺏ ﮐﮯ ﻳﻮﮞ ﮨﻴﮟ ﺟﻤﻊ ﻳﮧ ﺯﺍﻍ ﻭ
ﺯﻏﻦ ﺗﻤﺎﻡ

ﺷﯿﺮﻳﻨﺊ ﻧﺴﻴﻢ ﮨﮯ ﺳﻮﺯ ﻭ ﮔﺪﺍﺯِ ﻣﻴﺮؔ
ﺣﺴﺮﺕؔ ﺗِﺮﮮ ﺳﺨﻦ ﭘﮧ ﻟُﻄﻒِ ﺳﺨﻦ
ﺗﻤﺎﻡ

ﺣﺴﺮﺕؔ ﻣﻮﮨﺎﻧﯽ





Ayaz Ghulam Ali is a Versatile Singer. He Sung Different Gender of Music Like Ghazal, Geet, Thumri, Classical, Lok, Folk, Indian Songs, and Pakistani Songs, Only this channel is Ayaz Ghulam Ali is Official YouTube Channel ! .
He started his music career as a singing, Now He can also Compose, Direct and Arrange Music. Love with all of you!

  / akber.nawaz.73  
  / ayazghulamali  
  / akber.nawaz.73  


Contact us: +923244559378

Комментарии

Информация по комментариям в разработке