Kuch Bhi Tha Such K Taraf Dar Howa Krte The | Saleem Kausar | Sad Urdu Poetry

Описание к видео Kuch Bhi Tha Such K Taraf Dar Howa Krte The | Saleem Kausar | Sad Urdu Poetry

Urdu Poetry By Saleem Kausar
Recital Ahsan Shakeel

Kuchh bhi tha sach ke taraf-dar hua karte the

Tum kabhi sahab-e-kirdar hua karte the

Sunte hain aisa zamana bhi yahan guzra hai

Haq unhen milta jo haqdar hua karte the

Tujh ko bhi zoam sa rahta tha masihai ka

Aur hum bhi tere bimar hua karte the

Ek nazar roz kahin jal bichhae rakhti

Aur hum roz giraftar hua karte the

Hum ko malum tha aana to nahin tujh ko magar

Tere aane ke to aasar hua karte the

Ishq karte the faqat pas-e-wafa rakhne ko

Log sach-much ke wafadar hua karte the

Aaina khud bhi sanwarta tha hamari khatir

Hum tere waste tayyar hua karte the

Hum gul-e-khwab sajate the dukan-e-dil mein

Aur phir khud hi kharidar hua karte the

Kucha-e-'mir' ki jaanib nikal aate the sabhi

Wo jo 'ghaalib' ke taraf-dar hua karte the

Jin se aawargi-e-shab ka bharam tha wo log

Is bhare shahr mein do-chaar hua karte the

Ye jo zindan mein tumhein sae nazar aate hain

Ye kabhi raunaq-e-darbar hua karte the

Main sar-e-dasht-e-wafa ab hun akela warna

Mere ham-rah mere yar hua karte the

Waqt ruk ruk ke jinhen dekhta rahta hai 'Saleem'

Ye kabhi waqt ki raftar hua karte the

Subscribe To Our Channel For More Videos

►► Facebook :   / kitabemaazi  
►► Instagram :   / kitabemaazi  
►► Twitter :   / kitabemaazi  

For Business inquiry or Fan Mail
Call or WhatsApp: +92 331 4872455

Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке