Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 1 Complete

Описание к видео Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 1 Complete

Mirza Ghalib Shayari | Urdu Poetry | Season 1 Complete

Ghazal 1

bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
ek khel hai aurang-e-sulaiman mere nazdik
ek baat hai ejaz-e-masiha mere aage
juz nam nahin surat-e-alam mujhe manzur
juz wahm nahin hasti-e-ashiya mere aage
hota hai nihan gard mein sahra mere hote
ghista hai jabin KHak pe dariya mere aage

Ghazal 2

hazaron khwahishen aisi ki har KHwahish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle
Dare kyun mera qatil kya rahega us ki gardan par
wo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle
nikalna khuld se aadam ka sunte aae hain lekin
bahut be-abru ho kar tere kuche se hum nikle
bharam khul jae zalim tere qamat ki daraazi ka
agar is turra-e-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle

Ghazal 3

koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
nind kyun raat bhar nahin aati
aage aati thi haal-e-dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
jaanta hun sawab-e-taat-o-zohd
par tabiat idhar nahin aati
hai kuchh aisi hi baat jo chup hun
warna kya baat kar nahin aati

Ghazal 4

dil-e-nadan tujhe hua kya hai
aakhir is dard ki dawa kya hai
hum hain mushtaq aur wo be-zar
ya ilahi ye majra kya hai
main bhi munh mein zaban rakhta hun
kash puchho ki muddaa kya hai
jab ki tujh bin nahin koi maujud
phir ye hangama ai KHuda kya hai

Комментарии

Информация по комментариям в разработке