एक महिला के कितने सिजेरियन हो सकते हैं? Maximum number of cesareans a lady can have?
Dr. Soniya Gupta
For online consultation, call:
78518-21165 (11.00am to 3.00pm)
or you can VISIT:
Surana Nursing Home (Jain medicity),
Shastri Nagar, BIKANER (Rajasthan)
“Aksar ek sawaal baar-baar poocha jaata hai – ‘Doctor, ek mahila kitne baar cesarean karwa sakti hai?’ Kya 2 safe hai? 3 ho sakte hain? Ya 4 mein jaan ka khatra ho jaata hai?”
Chaliye, is confusion ka full stop lagate hain – facts ke saath!”
“Sabse pehle ye samajhna zaroori hai ki cesarean delivery ya C-section ek surgery hoti hai, jisme bachche ko maa ke pet se operation ke zariye nikala jaata hai. Ye tab kiya jaata hai jab normal delivery risky ho, jaise – baby ki position galat ho, maa ko medical problem ho, ya pehle se cesarean ho chuka ho.”
⸻
Kitne baar cesarean safe hai?
“Agar baat karein medical guideline ki, to maximum 3 cesarean tak generally safe mana jata hai – lekin har case alag hota hai.
• Pehla aur doosra cesarean usually safe hote hain.
• Teesre C-section ke baad complications badhne lagte hain, jaise – uterus ka rupture, placenta accreta, ya heavy bleeding.
• 4th ya 5th cesarean bhi kiya ja sakta hai, lekin woh sirf special cases mein, jab strict monitoring ho aur experienced team ho.”
🎯 “Yani ki ‘kitne cesarean ho sakte hain’, iska jawaab har mahila ke health, uterus ke condition, aur pehle ke delivery record pe depend karta hai.”
⸻
⚠️ Har baar cesarean lena safe hai kya?
“Aksar families bolti hain – ‘Pehle bhi cesarean hua tha, ab to dusra bhi waise hi kara lo!’ Lekin ye soch galat hai. Har surgery mein uterus weak hota hai. Scar ban jaata hai. Agar baar-बार C-section hota hai, to delivery ke time uterus phat bhi sakta hai – jise hum kehte hain ‘uterine rupture’. Jo maa aur baby dono ke liye life threatening ho sakta hai.”
⸻
Agar pehle cesarean hua ho, to agla pregnancy plan karne se pehle doctor se zaroor consult karein. Delivery ka decision ultrasound reports, uterus thickness, aur overall health ke basis par liya jaata hai – guesswork pe nahi!”
⸻
“Toh doston, yeh tha sach – ek aur cesarean lena safe ho sakta hai, lekin bina doctor ki guidance ke risk lena galat hai.”
Agar aap ya aapki koi friend is phase mein ho, to is video ko zaroor share karein. Aur agar aapko ye information useful lagi ho, to Like, Comment, aur Channel ko Subscribe karna na bhoolein!”
Your queries
cesarean delivery guidelines,multiple cesarean risks,cesarean section limits,repeat c-section complications,pregnancy after cesarean,vaginal birth after cesarean,c-section recovery,safe number of cesareans,cesarean scar care,cesarean birth statistics,maternal health cesarean,childbirth options,surgical delivery risks,c-section planning
Информация по комментариям в разработке