Baang e Dara 27 | Ishq Aur Mout | Love And Death | Soothing Music | Iqbaliyat | Allama Iqbal

Описание к видео Baang e Dara 27 | Ishq Aur Mout | Love And Death | Soothing Music | Iqbaliyat | Allama Iqbal

Baang-e-Dara: 27 | Ishq Aur Mout | Love And Death | Iqbaliyat | Allama Iqbal Poetry | Powerful Narration

Ishq Aur Maut | Baang-e-Dara : 27 | Allama Iqbal Poetry | Iqbaliyat | Powerful Narration
#allamaiqbalpoetry
#urdupoetry
#allamaiqbal


🔷 Lyrics by: Allama Iqbal
🔷 Recited by: Zia Mohyeddin
🔷 Recitation courtesy: Iqbal Academy Pakistan


Baang-e-Dara: 27

Ishq Aur Mout
(Makhooz Az Tenison)

Love And Death
(Adapted From Lord Alfred Tennyson)


Suhani Namood-e-Jahan Ki Ghari Thi
Tabassum Fishan Zindagi Ki Kali Thi



Kahin Mehr Ko Taj-e-Zar Mil Raha Tha
Atta Chand Ko Chandani Ho Rahi Thi



Siyah-e-Pairhan Sham Ko De Rahe The
Sitaron Ko Taleem-e-Tabindagi Thi



Kahin Shakh-e-Hasti Ko Lagte The Patte
Kahin Zindagi Ki Kali Phootti Thi



Farishte Sikhate The Shabnam Ko Rona
Hansi Gul Ko Pehle Pehal Aa Rahi Thi



Atta Dard Hota Tha Shayar Ke Dil Ko
Khudi Tashna Kaam-e-Mai-e-Bekhudi Thi



Uthi Awwal Awwal Ghata Kali Kali
Koi Hoor Choti Ko Khole Khari Thi



Zameen Ko Tha Dawa Ke Main Asman Hun
Makan Keh Raha Tha Ke Main La-Makan Hun



Gharz Iss Qadar Ye Nazara Tha Pyara
Ke Nazaragi Ho Sarapa Nazara



Malak Azmate The Parwaz Apni
Jabeenon Se Noor-e-Azal Ashakara


Farishta Tha Ek, Ishq Tha Naam Jis Ka
Ke Thi Rahbari Uss Ki Sub Ka Sahara



Farishta Ke Putla Tha Be Tabiyon Ka
Malak Ka Malak Aur Pare Ka Para



Pay-e-Sair Fardous Ko Ja Raha Tha
Qaza Se Mila Rah Mein Woh Qaza Ra



Ye Pucha Tera Naam Kya, Kaam Kya Hai
Nahin Ankh Ko Deed Teri Gawara



Huwa Sun Ke Goya Qaza Ka Farishta
Ajal Hun, Mera Kaam Hai Ashkara



Urati Hun, Main Rakht-e-Hasti Ke Purze
Bujhati Hun Main Zindagi Ka Sharara



Meri Ankh Mein Jadoo-e-Neesti Hai
Paya-e-Fana Hai Issi Ka Ishara



Magar Aik Hasti Hai Dunya Mein Aesi
Woh Atish Hai Main Samne Uss Ke Para



Sharar Ban Ke Rehti Hai Insan Ke Dil Mein
Woh Hai Noor-e-Mutliq Ki Ankhon Ka Tara



Tapakti Hai Ankhon Se Ban Ban Ke Ansu
Woh Ansu Ke Ho Jin Ki Talkhi Gawara



Suni Ishq Ne Guftugoo Jab Qaza Ki
Hansi Uss Ke Lab Par Huwi Ashkara


Giri Uss Tabassum Ki Bijli Ajal Par
Andhere Ka Ho Noor Mein Kya Guzara

Baqa Ko Jo Dekha Fana Ho Gyi Woh
Qaza Thi, Shakar-e-Qaza Ho Gyi Woh



🔷 Lyrics by: Allama Iqbal

📓 Lyrics (sources)
~ Urdu: https://www.iqbalrahber.com
~ English and Roman Urdu: https://www.iqbalurdu.blogspot.com



🎞️ Pics / Clips
Video by Luis Humanoide from Pixabay https://pixabay.com/videos/fire-burn-...
Video by svklimkin from Pixabay https://pixabay.com/videos/tulip-flow...
Video by Thomas Breher from Pixabay https://pixabay.com/videos/earth-univ...
Video by PIRO from Pixabay https://pixabay.com/videos/moon-zoom-...
Video by eikira from Pixabay https://pixabay.com/videos/sun-hot-su...
Video by PIRO from Pixabay https://pixabay.com/videos/moon-zoom-...
Image by NoName_13 from Pixabay https://pixabay.com/photos/sunset-tre...
Image by Jeremy Kyejo from Pixabay https://pixabay.com/photos/tree-branc...
Image by Rene Tittmann from Pixabay https://pixabay.com/photos/starry-sky...
Image by NoName_13 from Pixabay https://pixabay.com/photos/sunset-tre...
Video by Andreas from Pixabay https://pixabay.com/videos/buttercups...
Video by Dean Marston from Pixabay https://pixabay.com/videos/flowers-ga...
Video by CESAR AUGUSTO RAMIREZ VALLEJO from Pixabay https://pixabay.com/videos/landscape-...
Image by Lumina Obscura from Pixabay https://pixabay.com/photos/galaxy-sta...
Video by NASA-Imagery from Pixabay https://pixabay.com/videos/space-trav...
Video by freepik https://www.freepik.com/free-video/fl...


Music
I Walk With Ghosts by Scott Buckley | www.scottbuckley.com.au
Music promoted by https://www.chosic.com/free-music/all/
Creative Commons Attribution 4.0 International (CC BY 4.0)
https://creativecommons.org/licenses/...



🔶 Hashtags
#allamaiqbal
#allamaiqbalpoetry
#urduadab
#iqbaliyat
#urdushayari
#urdupoetry
#urdustatus

Комментарии

Информация по комментариям в разработке