SIRAJ AURANGABADI ki GHazl '' ḳhabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junūñ rahā na parī rahī '' Ki Tashreeh

Описание к видео SIRAJ AURANGABADI ki GHazl '' ḳhabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junūñ rahā na parī rahī '' Ki Tashreeh

سراج اورنگ آبادی

خبر تحیر عشق سن نہ جنوں رہا نہ پری رہی

نہ تو تو رہا نہ تو میں رہا جو رہی سو بے خبری رہی

شہ بے خودی نے عطا کیا مجھے اب لباس برہنگی

نہ خرد کی بخیہ گری رہی نہ جنوں کی پردہ دری رہی

چلی سمت غیب سیں کیا ہوا کہ چمن ظہور کا جل گیا

مگر ایک شاخ نہال غم جسے دل کہو سو ہری رہی

نظر تغافل یار کا گلہ کس زباں سیں بیاں کروں

کہ شراب صد قدح آرزو خم دل میں تھی سو بھری رہی

وہ عجب گھڑی تھی میں جس گھڑی لیا درس نسخۂ عشق کا

کہ کتاب عقل کی طاق پر جوں دھری تھی تیوں ہی دھری رہی

ترے جوش حیرت حسن کا اثر اس قدر سیں یہاں ہوا

کہ نہ آئنہ میں رہی جلا نہ پری کوں جلوہ گری رہی

کیا خاک آتش عشق نے دل بے نوائے سراجؔ کوں

نہ خطر رہا نہ حذر رہا مگر ایک بے خطری رہی


Shah SIRAJ AURANGABADI
ḳhabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junūñ rahā na parī rahī

na to tū rahā na to maiñ rahā jo rahī so be-ḳhabarī rahī

shah-e-be-ḳhudī ne atā kiyā mujhe ab libās-e-barahnagī

na ḳhirad kī baḳhiya-garī rahī na junūñ kī parda-darī rahī

chalī samt-e-ġhaib siiñ kyā havā ki chaman zuhūr kā jal gayā

magar ek shāḳh-e-nihāl-e-ġham jise dil kaho so harī rahī

nazar-e-taġhāful-e-yār kā gila kis zabāñ siiñ bayāñ karūñ

ki sharāb-e-sad-qadah aarzū ḳhum-e-dil meñ thī so bharī rahī

vo ajab ghaḌī thī maiñ jis ghaḌī liyā dars nusḳha-e-ishq kā

ki kitāb aql kī taaq par juuñ dharī thī tyuuñ hī dharī rahī

tire josh-e-hairat-e-husn kā asar is qadar siiñ yahāñ huā

ki na aa.ine meñ rahī jilā na parī kuuñ jalvagarī rahī

kiyā ḳhaak ātish-e-ishq ne dil-e-be-navā-e-'sirāj' kuuñ

na ḳhatar rahā na hazar rahā magar ek be-ḳhatarī rahī

Комментарии

Информация по комментариям в разработке