Best Bayan on Akhlaq Maulana Tariq Jameel 2017 Latest Bayan in Ulama and Talaba

Описание к видео Best Bayan on Akhlaq Maulana Tariq Jameel 2017 Latest Bayan in Ulama and Talaba

Best Bayan on Akhlaq Maulana Tariq Jameel 2017 Latest Bayan in Ulama and Talaba

Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se
Neki Aur Gunaah Ke Baare Me Poocha Tou Aap Ne Farmaya –
“Neki Ache Akhlaaq Ka Naam Hai Aur Gunah Jo Tere Seeney Me Khatke
Aur Tujhe Pasand Na Ho Ke Log Usey Jaaney.”
– (Sahi Muslim #2553)
* * * *

KAAMIL IMAN KI ALAMAT –
Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai
Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.”
– (Abu Dawood #4682)
ROZEDAAR AUR TAHAJJUD GUZAR JAISA MAQAAM –
Mahfum-e-Hadees: Maayi Ayesha(Razi’Allahu Anha) Farmati Hai Ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Ye Farmate Huwe Suna –
“Momin Apne Achche Akhlaaq Se Rozedar
Aur Tahajjud Guzar Ka Darja Hasil Kar Leta Hai.
– (Abu Dawood #4798)
MEEZAN (TARAZU) MEIN WAZNI CHEEZ –
Mahfum-e-Hadees: Abu Darda (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Meezan Me Achche Akhlaaq Se Zyada Bhari Cheez Koi Nahi.”
– (Abu Dawood #4799)
* * * *

JANNAT KI ZAMANAT –
Mahfum-e-Hadees: Abu Umama (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Main Jannat Ke Atraf Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon –
Uss Shakhs Ke Liye Jo Haq Pe Hone Ke Bawjood Jhagda Chod Dey !!
*Aur Jannat Ke Darmiyan Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon –
Uss Shakhs Ke Liye Jo Mazaaq Me Bhi Jhoot Bolna Chod Dey !!
*Aur Aala Jannat Me Ek Makan Ka Zaamin Hoon –
Uss Shakhs Ke Liye Jisne Apna Akhlaq Acha Kiya.
(Abu Dawood #4800)

Комментарии

Информация по комментариям в разработке