Meri ulfat Madine se yun hi nahi Mere aaqa ka rouza Madine mein hai

Описание к видео Meri ulfat Madine se yun hi nahi Mere aaqa ka rouza Madine mein hai

Naat Sharif , Lyrics
Meri ulfat Madine se yun hi nahi
Mere aaqa ka rouza Madine mein hai

Mein Madine ki jaanib na kaise khinchu
Mera deen or duniya Madine mein hai

Arsh e aazam pe jis ki badhi shaan hai
Roza e Mustafa jis ki pehchaan hai
Jis ka hum palla koi mohalla nahi
Ek aisa mohalla Madine mein hai

Phir mujhe mout ka koi khatra na ho
Mout kya zindagi ki bhi parwah na ho
Kaash Sarkaar ek baar mujh se kahe
Aa tera jeena marna Madine mein hai

Sarware dee jahaa se dua hai meri
Ye budo chashmey tar ilteja hai meri
Un ki fehreest mein mera bhi naam ho
Jinn ka roz ana jaana Madine mein hai

Jab nazar suye Taiba rawana hui
Saath dil bhi gaya saath jaan bhi gai
Mein Muneer ab rahunga yaha kisliye
Mera sara asasa madine mein hai.

(Sallallahu Alaihi Wa Alaehi Wa Sallam)

ALLHUMMAJ AL SALAWAATIKA WA BARAKAATIKA ALA MUHAMMADININ NABI YI WA AZWAAJIHI UMMAHAATIL MU'MINEENA WAZURRIYATIHI WA AHLI BAYTIHI KAMA SALLAYTA ALA IBRAHIMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED.

"O Allah! Bestow blessing and bounty on our Prophet and on his wives, who are the Mothers of the Faithful, and on his descendants and on the members of his Household in the manner as Thou conferred blessings on Prophet Ibrahim. Verily, thou art the Praiseworthy and the Glorious".

Hazrat Imam Ali e Murtaza said that if any one wishes that he should get the maximum reward for one Durood alone, then he must recite the above Durood Shareef.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке