Raah Baba Ka Puja | देखिए बिहार का प्रसिद्ध राह बाबा का पूजा | Rajak Vlogs

Описание к видео Raah Baba Ka Puja | देखिए बिहार का प्रसिद्ध राह बाबा का पूजा | Rajak Vlogs

Raah Baba Ka Puja | देखिए बिहार का प्रसिद्ध राह बाबा का पूजा | Rajak Vlogs
#raahbaba #rajakvlogs #vlog #firstvlog #bihar
rah Baba ka Puja
barhaa Puja

baraah Puja....bihar mai dusadh paswan log karte hai..... magh sarpanchami se vaisakh tak chalta hai... dushadh paswan ke alawa dusre log bhi puja karwate hai dusadh paswan logo ke jariye .... ye puja samajik puja bhi hai.. mil ke log karwa sakte hai jaisai durga puja.. dusherra.. ramnavmi manate hai... baans pe chadna bhagat ji ke dwara hota hai... jo trained hote hai...thats a disclaimer that nobody try this at home... yaha jo bhi dikhaya gaya hai video mai sab suraksha ke sath.... jaisai dusherra mai ravan dahan savdhani se kiya jaata hai ussi tarah ye vilupt puja bade hi savdhani se karaya gaya hai phuljhariyon aur bhagat ji dwara. aur hamai kushi hai iss puja ko YouTube ke madhyam se sabhi ke pass pahichaya gaya hai... astha aur wishwas alag baat hai.. koi manta hai aur koi nahin manta hai bhagwan ko.. sab ka apna paksh aur vichar hai.. hum sab ka vichar ka kadar ijjat karte hai.... vishwas ek aisa sabd hai jaisai chote bache ko kaala dhaga bandhna najar gujar se bachaane ke liye lekin aksar maa baap ka hi najar apne bacho ko lagta hai... issi najar lagne se hum bache ko kaala dhaga ya kaala tika lagate hai.... baraah Puja bhi viswash pe tika hai dusadh samuday ke liye.... bht hi kam dekhne ko milta hai... bado ke aage hath jodne se koi chota nahi ho jaata aur apne ghar ka puja karne se man mai sabko shanti hi milta hai.... om ka jaap kare ya yoga kare piece of mind what everyone requires. aap job karo business karo ya kisi bhi kaam mai busy kabhi na kabhi na mannai wala bhi bhagwan ka naam leta hai... dhanyawad aap sabhi ko jo video ko sarahai hai.... aur bhi video laayenge dusre rajye ke.. waha ke traditional puja.. shadi.. ko dekhenge dhanyawad

Комментарии

Информация по комментариям в разработке