Nohay 2020 | Abbas Ka Roza 2020 | New Noha 2020 | Mola Abbas Nohay 2020 | Hasan Jafar Nohay 2020

Описание к видео Nohay 2020 | Abbas Ka Roza 2020 | New Noha 2020 | Mola Abbas Nohay 2020 | Hasan Jafar Nohay 2020

Nohay 2020 | Abbas Ka Roza 2020 | New Noha 2020 | Mola Abbas Nohay 2020 | Hasan Jafar Nohay 2020

Title : Abbas Ka Roza Noha 1442/2020
Related : New Noha 2020 Mola Abbas Ka Roza 2020
Reciters : Ali Hasan & Hasan Jafar
Composition : Ali Hasan
Poet : Asif Jalal Bijnori
Chorus : Khuddam Uz Zahra
Audio : RWDS
Video by : Azmat Ali
Production : Azadari Chitora

#nohay #hasanjafar #abbaskaroza #molaabbas #newnoha #nohay2020 #alihasan #hasanjafar #newnohay2020 #hazratabbasnoha #nohaabbas2020

Lyrics :-
ABBAS KA RAUZA
MOLA ABBAS GHAZI ABBAS...2
Aye Mere Shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan Me
To Koi Dar Hi Nahi

Toote dilon ki aas hai abbas ka roza
Abbas ka roza hai ye abbas ka roza

Wajib ye hai ke saans bhi insaa'n adab se le
Ghazi ke ahteraam me neechhi nazar rakhe
Ghabraye dil jo khof se naade ali padhe
Dhadkan bhi dil ki dil ke ahaate me hi rahe
Zahra o Murtaza ke yehi dil ka chain hai
Roza jari ka baab e shahe mashraqain hai.

Aye mere shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan me
To Koi Dar Hi Nahi.

Toote dilo'n ki Aas Hai Abbas Hai Abbas Ka Rauza.
Abbas Ka Rauza Hai
Ye Abbas Ka Rauza

Kab tumko yunhi baab e hawayij kaha gaya
Kab tumko yunhi dilbar e zahra likha gaya
Pehle to imtehaan wafa ka liya gaya
Baad az khitaab qulle wafa ka diya gaya
Duniya Ke Har Sawal Ka Tumhi Jawab Ho.
Tumhi To Arzue Dil e Buturab Ho..

Aye mere shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan me
To Koi Dar Hi Nahi.

Toote dilo'n ki Aas Hai Abbas Hai Abbas Ka Rauza.
Abbas Ka Rauza Hai
Ye Abbas Ka Rauza

Abbas e ba wafa ke jo roze pe aaoge
Aakar adab ke sath agar sar jhukaoge
Mayoosiyaan hai kufr ke khaali na jaoge
Ye dar wo hai jahaa'n se muraad apni paoge
Inka khuda e paak se qol o qaraar hai
Abbas apne jad ki tarha ba wiqaar hai..

Aye mere shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan me
To Koi Dar Hi Nahi.

Toote dilo'n ki Aas Hai Abbas Hai Abbas Ka Rauza.
Abbas Ka Rauza Hai
Ye Abbas Ka Rauza

Abbas tumko apni jalalat ka waasta
Abbas tumko shah ki shahadat ka wasta
Ansaar o aqreba ki ita'at ka wasta
Aale rasool e paak ki ghurbat ka wasta
Be dard be lagaam balaon ko taal do
Behre waba se kashti duniya nikaal do

Aye mere shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan me
To Koi Dar Hi Nahi.

Toote dilo'n ki Aas Hai Abbas Hai Abbas Ka Rauza.
Abbas Ka Rauza Hai
Ye Abbas Ka Rauza

Mushkil me yun to aata hai lab par ali ka naam
Baad az basad khuloos basad izzo ahteraam
Karte hain ahle zarf adab se tujhe salaam
Abbas e ba wafa teri chokhat pe subh shaam
Daamaan pasaarte hain zaroorat ke waaste
Jaate hain tere roze pa haajat ke waaste

Aye mere shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan me
To Koi Dar Hi Nahi.

Toote dilo'n ki Aas Hai Abbas Hai Abbas Ka Rauza.
Abbas Ka Rauza Hai
Ye Abbas Ka Rauza

Abbas tumko baali sakina ka waasta
Roze pe apne hamko bula lo hai ilteja
Bas aik baar dekh len aankhon se karbala
Sunte hain saamne hi hai roza hussain ka
De do reza hame ke salaami ko jayen ham
Do jannaton ke beech me kuchh pal bitayen ham..

Aye mere shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan me
To Koi Dar Hi Nahi.

Toote dilo'n ki Aas Hai Abbas Hai Abbas Ka Rauza.
Abbas Ka Rauza Hai
Ye Abbas Ka Rauza

Abbas ham jo tere alam ko utthaate hain
Wallah khud ko sarhad e sidra pe paate hain
Ham ba wafa hain ahle jahaa'n ko batate hain
Phir daastaan karbobala ki sunaate hain
Sardaar e ambiya ka karam apne paas hai
Khaibar se aaj tak ye alam apne paas hai

Aye mere shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan me
To Koi Dar Hi Nahi.

Toote dilo'n ki Aas Hai Abbas Hai Abbas Ka Rauza.
Abbas Ka Rauza Hai
Ye Abbas Ka Rauza

Zenab ne jab suna ke sare dasht e karbala
Shaane kataake so gaya darya pe ba wafa
Ye bhi yaqeen ho gaya chhin jayegi rida
Dhayegi zulm foj e jafa wa musibata
Khemon me aag aake lagayenge ahle shar
Ho jayega shuru aseeri ka phir safar...

Haye Abbas...4

Taraaj aik din me hi ho jayega chaman
Tadpegi jalti khaak pe pyason ki anjuman
Socha nahi tha shanon me bandh jayegi rasan
Aur fatema ke chaand ko lag jayega gahan
Dekhegi jis taraf bhi nazar aayenge laein
Sar nange shaam o koofa me le jynge layi'n..

Haye Abbas....4

Asif karenge majlis e shabbir ham bapa
Jafar hasan karenge masayib ka haq ada
Qismat se jab bhi ham kabhi pahunchenge karbala
Pursa imam e waqt ko denge hussain ka
Har dam ada e haaqe tawalla karenge ham
Zahra ke dushmanon pa tabarra karenge ham

Aye mere shere Jari
Aye Sakhi Ibne Ali
Tere Dar Jaisa Jahan me
To Koi Dar Hi Nahi.

Toote dilo'n ki Aas Hai Abbas Hai Abbas Ka Rauza.
Abbas Ka Rauza Hai
Ye Abbas Ka Rauza

INSTAGRAM
  / alihasanoff.  .
  / hasanjafaro.  .

Комментарии

Информация по комментариям в разработке