Bibi Sakina Noha 2024 | Main Chaar Saal Ki Hoon | Zeeshan Abidi | New Nohay 2024

Описание к видео Bibi Sakina Noha 2024 | Main Chaar Saal Ki Hoon | Zeeshan Abidi | New Nohay 2024

Bibi Sakina Noha 2024 | Main Chaar Saal Ki Hoon | Zeeshan Abidi | New Nohay 2024

zeeshan abidi presents noha new 2024 for the muharram 2024\1446.

Kalam Details

Title | Main Chaar Saal Ki Hoon
Reciters | Zeeshan Abidi
Poetry | Zeeshan Abidi
Composition | Nayyar Abbas (Skardu)
Audio | Tee Zee Production (Tirmah Zaidi)
Video | The Focus Studio (Safdar Kaleem)
Creatives | Ar Graphics
Special Thanks Mr Ali Raza Surani

#bibisakina #13safar #newnoha2024 #bibisakinanoha #nohay2024 #zeeshanabidi #bibisakinasa

Roman Lyrics

Ye maa se qaid mein ek din kaha Sakeena ne
Kabhi to baba yahan mujhse milne aayenge
Main sochti hoon ke pehchaanenge mujhe kaise
Jala hai kurta, lahoo beh raha hai kaanon se
Na mera haal tha aisa, na itni zakhmi thi
Kya unke jaane se pehle Sakeena aisi thi

Koi ye keh nahi sakta main chaar saal ki hoon
Dikhai deti hoon Zahra mein chaar saal ki hoon

Qadam uthaoon to amman chala nahi jata
Main baith jaoon to mujhse utha nahi jata
Ke ho chuki hoon zaifa, main chaar saal ki hoon

Larazte haathon ko aur apne zakhmi gaalon ko
Main dekhti hoon jab apne safed baalon ko
To khud se poochti hoon kya main chaar saal ki hoon

Laeen ka haath bara mere gaal chhote the
Woh hans raha tha musalsal meri sada sunkar
Na maaro mujhko tamaancha, main chaar saal ki hoon

Main nanhe haathon se khud ko sambhaalti kaise
Pukaarti rahi gir jaoongi main naake se
Mujhe bithaao na tanha, main chaar saal ki hoon

Main munh chhupaati thi haakim ne jab mujhe dekha
Ishara karke kaneezi mein mujhko maang liya
Laeen ne ye bhi na socha main chaar saal ki hoon

Chacha ke samne ye bhi sitam saha main ne
Pakar ke baalon se maara ye jab kaha main ne
Hai mera naam Sakeena, main chaar saal ki hoon

Gale pe baba ke jab Shimar ne rakha khanjar
Phupi ke saath khadi keh rahi thi main rokar
Karo na mujhko yateema, main chaar saal ki hoon

Kaha Sakeena ne Zeshan maa se ye rokar
Sitam na dhayein kahin Shaami meri turbat par
Meri lahd pe bhi likhna, main chaar saal ki hoon

یہ ماں سے قید میں اک دن کہا سکینہؑ نے
کبھی تو بابا یہاں مجھسے ملنے آئینگے
میں سوچتی ہوں کہ پہچانینگے مجھے کیسے
جلا ہے کرتا لہو بہرہا ھے کانوں سے
نہ میرا حال تھا ایسا نہ اتنی زخمی تھی
کیا اُنکے جانے سے پہلے سکینہؑ ایسی تھی

کوئی یہ کہہ نہیں سکتا میں چار سال کی ہوں
دکھائی دیتی ہوں زہراؑ میں چار سال کی ہوں

قدم اُٹھاؤں تو اماں چلا نہیں جاتا
میں بیٹھ جاؤں تو مجھسے اُٹھا نہیں جاتا
کہ ہوچکی ہوں ضعیفہ میں چار سال کی ہوں

لرزتے ہاتھوں کو اور اپنے زخمی گالوں کو
میں دیکھتی ہوں جب اپنے سفید بالوں کو
توخودسےپوچھتی ہوں کیامیں چارسال کی ہوں

لعیں کا ہاتھ بڑا میرے گال چھوٹے تھے
وہ ہنس رہا تھا مسلسل میری صدا سنکے
نہ مارو مجھکو طمانچہ میں چار سال کی ہوں

میں ننھے ہاتھوں سے خود کو سمبھالتی کیسے
پکارتی رہی گر جاؤنگی میں ناقے سے
مجھے بٹھاؤ نہ تنہا میں چار سال کی ہوں

میں منہ چھپاتی تھی حاکم نےجب مجھےدیکھا
اشارہ کرکے کنیزی میں مجھکو مانگ لیا
لعیں نے یہ بھی نہ سوچا میں چار سال کی ہوں

چچا کہ سامنے یہ بھی ستم سہا میں نے
پکڑکے بالوں سے مارا یہ جب کہا میں نے
ھے میرا نام سکینہؑ میں چار سال کی ہوں

گلے پہ بابا کے جب شمر نے رکھا خنجر
پھوپی کہ ساتھ کھڑی کہرہی تھی میں روکر
کرو نہ مجھکو یتیمہ میں چار سال کی ہوں

کہا سکینہؑ نے ذیشان ماں سے یہ روکر
ستم نہ ڈھائیں کہیں شامی میری تربت پر
میری لحد پہ بھی لکھنا میں چار سال کی ہوں

KEEP SUBSCRIPTION |
‪‪‪@zeeshanabidi.official‬

Комментарии

Информация по комментариям в разработке