NasirJehan - Guroh e Chaak Gariban Salam Karta Hai

Описание к видео NasirJehan - Guroh e Chaak Gariban Salam Karta Hai

Jo Fatima* ki rag e jaaN, Ali* ka hai dilbar
Hussain* minni kaheiN jisko Shafaey Mahshar*
Woh jiska kar diya ta'raaj Karbala meiN ghar
MusibatoN ki hadeiN khatm ho gaiiN jispar

Guroh e chaak garibaN salam karta hai

Khayaam e Shaih* ka nigehbaN, Hussain* ka bhai
Woh jisne ki thi Sakina* ki runn meiN saqqai
Lab e Furaat katey haath jiske, maut aai
Wafa ne jiss se jahaN meiN hayaat e nau paai

Guroh e chaak garibaN salam karta hai

Na maaN ka dudh, na pani mila jisey, woh saghir
Woh jisko deikh ke tukre jigar ho, woh Be'sheer
Woh jisko le gaey maidaN meiN Hazrat e Shabbir*
Woh jiska nanNha gala aur Hurmala ka teer

Guroh e chaak garibaN salam karta hai

Jo quuwat e dil e Laila* tha, khoob ru woh jawaaN
Woh jisko deikh ke hota tha Mustafa* ka gumaaN
Woh jisne ain e jawani meiN khaai dil pa sinaaN
Woh jiske byaah ka maadar ko rah gaya armaaN

Guroh e chaak garibaN salam karta hai

Wohi jo thEy Shahe* Karb o Bala ke dil ka chayn
Woh kamsini meiN jinheiN maut aai, haaey Hussain*
Tha jinki maut se khaimoN meiN eik shor o shayn
Woh yaani Zainab* e aali nasab ke noor e ayn

Guroh e chaak garibaN salam karta hai

Woh jisko seene pa apne sulaate thEy Sarwar*
Woh jiske kanoN se tapka lahu, chiney gauhar
Yateem jaan ke toreeN musibateiN jis par
Rahi aseeroN ki jo Sham tak shareek e safar

Guroh e chaak garibaN salam karta hai

Комментарии

Информация по комментариям в разработке