Qisas ul Anbiya - Hazrat Yusuf (a) ka Qissa - Story of Prophet Yusuf in Urdu - IslamSearch

Описание к видео Qisas ul Anbiya - Hazrat Yusuf (a) ka Qissa - Story of Prophet Yusuf in Urdu - IslamSearch

Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) ki zindagi ke Qisse - Quranic Stories - Story of Prophet Yusuf
Yusuf (Alaihay Salam) ne apna iqtedaar bakhubi sambhaala:

Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) Azize Misr aur Zulekha

Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) jo ki phalisteen me rahte the. unke 12 ladke the. un hi me se pahli Biwi se Yusuf (Alaihay Salam) aur Bin Yamin they aur dusri Biwi se 10 ladke they.

Yusuf (Alaihay Salam) bahoot khoobsurat aur Haseen Zameel they. unki khoobsurati ki masaale aaj bhi di jaati hai. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) Yusuf (Alaihay Salam) se bahoot Mohabbat karte they aur ye hi baat unke baaqi 10 bhaiyon ko khatakti thi nagawaar lagti thi.

Allah taala farmaate hai ki, iss tarhaa ham ne Yusuf (Alaihay Salam) ko is sir-zameen me iqtedaar ata kiya, woh jahaa chaahte rahte, ham jise chaahte hai nawaazte hai aur nek logo ka ajar zaayaa (bekaar) nahi karte.

Hazrat Yusuf (Alaihay Salam) ki apne waalid se judayi:

………. Ek din Yusuf (Alaihay Salam) ne ek khwab dekha aur apne Abba jaan se kahaa ki maine khwab me dekha hai 11 Sitaare, Chaand aur Suraj sab mujhe Sajda kar rahe hai. Hazrat Yaqoob (Alaihay Salam) iss khwab ki tabeer samjh gaye ki Allah Ta’ala Yusuf (Alaihay Salam) ko Naboowat se sarfaraaz farmayega aur Deen ki khidmat lega.

Kyunki unhe apne baaqi 10 beton ke baare me maaloom tha. isiliye unhone Yusuf (Alaihay Salam) ko nasihat farmaayee ki iss khwab ka ziqr kisi se mat karna, kyonki Shaitaan insaano ka khulaa Dushman hai.

………. Ek deen 10 bhaiyo ne mashwaraa kiya ki Abba jaan Yusuf (Alaihay Salam) ko jyada chaahte hai aur hum logo ko nahi chaahete. jab ki hum log tadaad me bhi jyada hai aur Quwwat me bhi.

………. Ek Bhai ne mashwara diya kyun na Yusuf ko Qatal kar diya jaaye. jab wo hi na rahega toh Abba jaan hum se bhi Mohabbat karenge aur hum log baad me Sidhe aur Sachche ban jaayenge. iss par dusre ne kaha, “Nahi hum unka Qatal nahi karenge balki unko ek Andhe kuwe (well) me daal denge aur ho sakta hai ki koi kaafilaa aaye aur Yusuf ko apne saath le kar chalaa jaaye. iss baat par sab bhaiyo ki ek raai ban gayi.”

Aur woh sab milkar apne Abba jaan ke paas aaye aur kahne lage, “Kya baat hai ki aap Yusuf ke baare me hum par bharosa nahi karte, halaanki uam toh uske khairkhwah hai. kal Aap usey humaare saath bhej do taaki wo humaare saath khaaye aur khele aur hum uski hifaazat karege.

………. Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “Tum agar isey saath le gaye to mujh ko iss ki judayi ka gham hoga aur main darta hoon ki kahi tum log khel kood me mast ho jaawo aur iss se gaafil ho jaawo aur koi bhediya usey khaa jaaye.”

Iss par unke beto ne kahaa, “Hum log ek taqatwar jamaat hai, agar humaare hotey huwe koi bhediya Yusuf ko khaa jaaye toh ye baat humaare liye nuksaandaayak hogi.”

………. Iss tarhaa woh apne abba jaan se zid kar ke Yusuf (Alaihay Salam) ko apne saath le gaye aur wahaa par Yusuf (Alaihay Salam) ko ek andhe kuwe (well) me fenk diya.

………. Jaise hi unhone Yusuf (Alaihay Salam) ko kunwe me feka waise hi Zibrayeel (Alaihay Salam) ne Yusuf (Alaihay Salam) ko lapak kar khairiyat ke saath kunwe ke tahe tak pahoocha diya aur unn se kahaa, “Ghabrana (darna) nahi Allah Ta’ala tumhara nighebaan hai.”

………. Baaqi Bhaiyo ne Yusuf (Alaihay Salam) ki kameez par ek Bhed (sheep) ka jhuta-mutha rang lagaakar rote huwe apne Abba jaan ke paas pahoonche aur kahaa ki “hum log aapas me shart laga kar doud (runing race) kar rahe the aur Yusuf samaan ke paas peeche chhoot gaye aur hum logo ko khayaal hi na raha aur ek bhediye ne aakar Yusuf ko khaa liya.”

………. Yaqoob (Alaihay Salam) ne kahaa, “Tum log jhoot bol rahe ho, ab Allah Ta’ala hi mujhe sabr de aur iss muamle me mai uss se hi madad chaahta hoon.”
Yusuf (Alaihay Salam) ne apna iqtedaar sambhaala aur apne kaam ki tarteeb dene lage. anaajo ko mahefooz rakhne ke liye bade-bade godaam (godown) banaaye gaye. ye aap ke iqtedaar sambhalne ke baad aathva (8) saal hai, jab kahat (sukhaa) ka dour-doura tha. aas paas ke ilaako me galla (anaaj) dastyaab na tha. chaaro taraf sookhaa padaa huwaa tha, kya insaan kya jaanwar sab pareshaan ho rahe the. usi waqt baadshah ne apni tamam awaam (public) me munaadi karaayee. ke huqumat ke paas galla (anaaj ) moujood hai aur har awamoonnaas ko anaaj waajib daamo par diya jaayega. ye khabar Yusuf (Alaihay Salam) ke bhaiyo ko bhi pahoochi.


#QuranicStories #QuraniQissa #IslamicStory #IslamiKahani #QuranicStory #IslamiWaqia #IslamicKahaniyan #MuslimKahani #ProphetStory #UrduIslamicKahani #IslamicStoriesinUrdu #QisasulAnbiya #AnbiyakiKahani #AnbiyakaQissa #AmbiyaKahani #AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory #HazratYusufStory #hazratyusuf #YusufWaqia #YusufQissa, #QissaHazratYusuf #StoryProphetYusuf #StoryIslam #IslamStory #HazratYusufStory #HazratYusufWaqia #HazratYusufQissa #QissaIslam #QisasulAmbiya #AmbiyakaQissa #HazratIYusuf #ProphetIYusuf #ProphetYusufStory #StoryProphetYusuf #HazratYusufQissa #HazratYusufWaqia #HazratIYusufStory #YusufStory #Prophet

Комментарии

Информация по комментариям в разработке