Pond Farming Benefits- Step by Step Full Information | PVR AQUA

Описание к видео Pond Farming Benefits- Step by Step Full Information | PVR AQUA

Hello friends kaise hain aap sab log. Aaj ki iss video me hum baat karne wale hain ki agar aap pond farming kar rahe hain to aapko kaise business start karna hai, lagat kitni aayegi, sale kitni hogi, profit kitna hoga.
@ sabse pahli baat agar aap farmer hain to 1-2 acre me bhi profit utha lange but agar aap business man hain, entrepreneur hain to aapko kam se kam 5 acre pond se farming start karni chaiye tabhi aap profit utha paynge.
@ pond selection ke samay sabse pahle aapko soil and water test karanevaale chaiye uske baad hi us pond ko final karna chaiye.
@ costing 2 category me baant leni chaiye.
Infra development
Fish development
@ infra ki baat karen to first step pond digging ka aata hai
@ 1 acre me 6feet depth ki cost about to 70-75 hajar aati hai.
@ dusra aapko borwell water ka connection lagane me 1.25-1.5 lakh Jisme 7.5hp moter aur 200feet depth me itna kharcha aata hai.
@ feed ke liye shade, labor and apne liye office banwane me aapko lagbhag 3-4 lakh ka kharcha aayega.
@ security ke liye camera, light ke liye inverter, weight ke liye machine, movable moter in sabko mila kar about to 1lakh ka kharch.
@ kante wale wire boundary ke liye 1acre me aapko 15000 per acre cost aati hai.
@ areator 1acre ke liye 2hp ka jiski kimat lagbhag 35000 hai
@ agar aap insb chejo ko totel karenge to 5 acre me about to 12lakh ki cost aayegi.
@ agar aap imc, carbs type fish farming kar rhe hain aur fingerlings size lete hain to 2-3 rs/pcs aa jati hai, stunted seed 80-100 gm wale 120-150rs/kg aa jate hain.
@ fcr aapki 80-82rs/kg cost aati hai.
@ agar aapki imc fish hai 125-130rs/kg farm price sale ho jati hai.
To dosto ye kuch baate hain jinko aapko farming start karne se pahle jaan na chaiye.

#fishfarming #pondfarming #imgfarming #carbsfarming #fishfarmingcost #profitinfishfarming #howmuchinvestinfishfarming #fishfarmingprofit #pvraqua

Комментарии

Информация по комментариям в разработке