Zikr E Qalbi Ata Hone Ki Alamat Aur Nishaniyan!!!

Описание к видео Zikr E Qalbi Ata Hone Ki Alamat Aur Nishaniyan!!!

Zikr E Qalbi Ata Hone Ki Alamat Aur Nishaniyan, This video the beautiful motivational video Another good informative video about, Zikr E Qalbi Ata Hone Ki Alamat Aur Nishaniyan. What is Zikr E Qalbi or Zikr of Heart? ZIkr e Qalbi or Silent Zikr of Heart Means Remembrance is the words of Allah or His remembrance, and the heart is in the heart. My heart spoke of remembrance of Allah in heart. The Zikr, also known as silent Zikr or Zikr e Khafi means Zikr e Qalbi or Qalbi zikr, is silently performed in one's heart until no one but Allah hears it. This form of Zikr was practiced and taught by Sufism or saints appointed by the saint (friends of Allah). I remember my heart, the highest name in your heart "Allah Hoo, Allah Hoo". Adv Zuhaib Hafeez will explain this on Fikar e Iqbal channel.

-Zikr E Qalbi Ata Hone Ki Alamat Aur Nishaniyan: Aj hum Zikr e Qalbi ke bare mein bat karte hain, kuch log aise hain jo Qalbi zikr lete hain, Zikr e qalbi ata ho jata hai, un ka Qalb Allah Allah karna shoro kar deta hai. Par wo kehte hain ke Allah Allah karne ke bad, thori dair mehsos hota hai us ka bad zikr mehsos nahi hota, jab Zikr Qalb ata hota hai, dil ki dharkan Allah allah karna shoro kar deti hai. Zikr e Qalbi shoro mein 24 ghante mein 5000 bar dil ki dharkan Zikr karti hai, us ke bad ye band ho jati hai, isi liye is ko Silent Zikr of Heart, bhi kehte hain kyun ke ye Sufism zikr or sufi zikr hai. Isi liye Zikr or Dhikr karne wali ko kabhi dhikr mehsos hota hai aur kabhi zikr mehsos nahi hota. Is ka ye matlab nahi hai ke ap ko Zikr e Qalbi ata nahi howa, zikr ap ko ata ho jata hai. Us ke bad agar ap Namaz parhte hain Quran parhte hain, mehnat karte hain zikr ko barhane ke liye, apne Qalb ko jari karne ke liye, aur zikr ke liye to Allah ne Quran aur Hadith mein bhi zikr farmaya hai, Jab ap Zikr e Qalbi mein thori aur mehnat karte hain zikr mein mazed tezi jari kane ke liye to phir ap ka zikr 5000, se barh ke 25000, tak ho jata hai. Phir 24 ghante mein 25000 bar ap ka Qalb, Dil, Heart zikr karne ke bad ruk jata hai, phir bhi ap ko kabhi Zikr mehsos ho aur kabhi zikr mehsos nahi ho ga. Lakin ap ka Qalb jari ho ga, ap ka zikr Jari ho ga, is ka ye matlab nahi ke ap ko zikr e qalbi ata nahi howa, ye nishaniyan hai ke zikr kabhi mehsos hota hai kabhi nahi hota. Us ke bad agar ap mazed Zikr e Qalbi ko barhana chahte hain to phir ap ko is Zikr mein thori aur mehnat karni ho gi, Zikr e Qalbi ko phelana ho ga, agar ap kisi aur ko bhi zikr e qalbi ke liye kehte ho, aur us ki bhi dil ki dharkan Allah Allah karna shoro kar deti hai, to is se bhi ap ke zikr mein izafa hota hai, us ke bad phir ap ke Zikr e Qalbi mein mazeed izafa hota hai aur ap ki dil ki dharkan 24 ghante mein 25000 ki bajae 75000 bar zikr karti hai. Us ke bad bhi ap ko apne Qalb mein kabhi zikr mehsos ho ga aur kabhi mehsos nahi hoga, is ka ye matlab hargiz nahi ho ga ke ap ko zikr e qalbi ata nahi howa, zikr e qalbi ap ko ata ho chuka hota hai aur ap ka Qalb bhi jari ho chuka hota hai. Ye Zikr e Qalbi ki Alamat aur Nishaniyan hoti hai ke zikr kabhi mehsos hota hai aur kabhi nahi, jab ap Zikr e qalbi mein mazeed mehnat karte hain to phir ap ka zikr 75000 se barh ke 125000 ho jata hai jab ap ka Qalb sawa lakh ke zikr par pohnch jata hai to phir ap ko 24 ghante Zikr e Qalbi mehsos hota hi rehta hai, phir ap ka Qalb 24 ghante Allah ke zikr mein mast rehta hai. Zikr e Qalbi ka Tarika: Zikr e Qalbi karne ka tarika ye hai ke apne dil ki dharkanon ke sath hi Allah ka zikr karen gay, Qalb, Dil ki aik tik ke sath "Allah" aur dosri tik ke sath "Hoo" mila kar parhna hai, "Allah Hoo, Allah hoo, Allah Hoo" ye Tarika hai Zikr e Qalbi ka. #ZikrEQalbi #FikarEIqbal #AdvZuhaibHafeez

More Related Videos Vist For

  / fikar_iqbal  
  / advocate-zuhaib-hafeez-218700805689062  
https://www.fikareiqbal.com

Комментарии

Информация по комментариям в разработке