Top 10 Osho Books in Hindi by Acharya Amaresh Jha

Описание к видео Top 10 Osho Books in Hindi by Acharya Amaresh Jha

top 10 osho books in hindi yani daas aesi books ke bare mein btane jaa rha hu joh osho ji ki best books hai yhe video maine acharya amaresh jha se inspired hokr banai hai.joh 10th number pr osho ji ki book aati hai woh hai dhyan sutr iss book mein osho ji ne bataya hai agar dhyan hai toh sabh kuch hai agr dhyan nhi toh kuch bhi nhi.Osho iss book mein kheyte hai ki hum sabh ek sambhavna yani ek possibility lekr iss duniya mein aaye hai.Agr aapka hausla majbut ho toh ek chotha paid bhi majboot pairdh ho sakta hai. Lekin hum iradey ke pakke nhi hote hai isliye bhagwan tak nhi paunch pate aur iss book mein osho ji ne yhe bhi bataya hai ki kese hum sharir ki shuddhi, maan ki shuddhi aur kese aap dhyan mein doop payenge yhe bataya gya hai. Joh 9th number pr osho ji ki book aati hai woh hai ek aunkar satnaam, joh guru nanak ji thie unhone samadhi lene ke baad joh experience hua woh likha hai iss book mein osho ji ke dwara, iss book mein osho ji kheyte hai ki gurunanak ji ne bhagwaan ko gaa gaakr paa lia unhone koi meditation nhi ki, koi yoga nhi ki toh aapko bhi apna kaam itne dhyan se karna chaiye ki aap bhi apna kaam karte huye englightned ho jao.joh 8th number pr osho ji ki book aati hai woh hai geeta darshan, jabh arjun ne yudh ke waqt apne ristedaro ko dekha toh woh depressed ho gya tha, toh osho ji ne gita ki baat hi iss book mein batai hai bhagavad gita ki ki gye baatey scientific bhi hai, joh 7th number pr book aati hai woh hai sadhna sutr yhe book mebil collins dwara likhi gai hai, osho kheyte hai ki yhe book joh likhi hai mebil colins ne deep meditation ke dwara likhi hai, moh maya kya hai, laalach kya hai, yhe bataya gya hai iss book mein, joh 6th number pr osho ji ki book aati hai woh hai sambhog se samadhi ki aur, iss book mein osho kheyte hai ki sambhog pe nhi rukna hai, samadhi ki aur yatra karni hai,iss book mein joh osho ji ne main baat kri hai woh life energy ke bare mein, joh life energy aap sex karne mein waste kar dete hai kese aap ussey transform karenge kese parmatma tak pauncheyenge.Joh 5th number pr osho ji ki book aati hai woh hai dhyanyog pratam aur antim mukti,dosto agr aap meditation karte hai ya phir meditation seekhna chatey hai, iss book mein osho ji ne dhyan karke ke tarike key bare mein bataya hai, yhe kitab english mein bhi available hai 1st and last freedom ke nam se, joh 4th number pr osho ji ki book aati hai woh hai sadhna path, jabh osho ji ne shivar lena shuru kia tha, toh joh sabse shuruwat mein joh shivar lia tha unn char shvro mein se yhe book banai gai hai iss book mein acharya rajnesh osho ne bataya hai ki sadhna main kis cheez ki zarurat hai iss book main osho ji ne tal ke bare main bataya hai ki hum sharir ke tal paar jeetey hai uske baad mann ke tal par jeetey hai uske baad emotion ke tal par jeetey hai. humari joh aatma hai iss sharir se leke aatma tak ki doosri kese poori karenge iss book mein bataya gya hai.Aap kisi bhi dharm se ho fark nhi pardhta aapke janm.Joh 3rd number pr acharya rajneesh osho ji ki book aati hai woh hai samadhi ke sapt dwar, hum dharm aur samadhi ki baat toh karte hai, hum yhe sochtey hai joh himalya pr jaate hai woh hi samadhi paa sakte hai, pr aesa nhi hai aap englitment tak kese jaoge yhe iss kitab mein bataya gya hai. joh 2nd number pr osho ji ki book aati hai woh hai jin khoja tin paiya, yhe book kundalini jagran pr hai iss book mein osho ji ne bataya hai ki hum sharir mein chupi energy ko kese jagrit kar sakte hai. 7 chakar aur concious aur subconscious mind aur astral body aur astral travel ke bare mein charcha ki gai hai iss book mein.joh 1st number pr osho ji ki book aati hai woh hai mein mritu sikhata hu, agr aapka intrest hai yhe janney mein ki aap kon hai, janam maran kya hai, kese aap iss sharir mein aatey hai aur phir kha jaatey hai sapna kya hai, dhyan aur tantr ke baarey mein bhi iss kitab mein bataya gya hai.

Top 10 Acharya Rajnesh Osho Books List -
10.Dhyan Sutr
9.Ek Onkar Satnam
8.Geeta Darshan
7.Sadhna Sutr
6.Sambhog Se Samadhi Ki Or
5.Dhyan Yog
4.Sadhna Path
3.Samadhi Ke Sapt Dwar
2.Jin Khoja Tin Paiya
1.Main Mritu Sikhata Hu


#Top10OshoBooksinHindi
#Top10OshoBooks
#TopOshoBooks
#OshoBestBooks
#OshoBooks
#SpiritualSadhu

Комментарии

Информация по комментариям в разработке