ye mahayudh hai full song
ye mahayudh hai song mahabharat
Lyrics
Desh desh ke saare raja, senapati ya rajkumar, aaa...
Desh desh ke saare raja, senapati ya rajkumar;
Kurukshetra ki ore badh rahe, lekar sena baandh kataar,
Kurukshetra ki ore badh rahe, lekar sena baandh kataar;
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai;
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai.
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
Raaj raaj ke raajya maarg sab jaate samaraangan ki ore,
Jaate samaraangan ki ore;
Disha disha me gagan bhedte, goonje yuddh vaadhya ghanghor,
Goonje yuddh vaadhya ghanghor;
Rath ghode haathi paidal sab badhe aa rahe karte ghosh;
Rathi saarthi maharathi atirathi na rukta jinka josh;
Dhar dhar bhoo bhoo thara-ra-thara-ra-thar tarah tarah ke badhte yaan;
Sar sar san san sana-na-sana-na tan, dhool gagan ka chhooye vidhaan......
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai;
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai.
Drishtadyumn ke sang Shikhandi, sang Drupad ke veer apaar,
Sang Drupad ke veer apaar;
Yah Viraat, wah Uttar aataa le veeron ka vaaraapaar,
Le veeron ka vaaraapaar;
Ye Satyaki hai kushal dhanurdhar, sang yaadavon ki hai sainya,
Mahaveer shastraagni chalaakar, maare shatru hare dukh den;
Magadh desh ki maha sainya sang Jarasandh ka sut Sahdev,
Chedi desh ka Dhrishtketu ye rakhe dhwaja ko uchcha sadaiv......
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai;
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai.
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
Astra shastra le badhe Yuddhishthir, param gadaadhar aate Bheem,
Param gadaadhar aate Bheem;
Nakul aur Sahdev aa rahe, le saahas ki agni aseem,
Le saahas ki agni aseem;
Paanchaali ke paanchon bete, wah Abhimanyu Subhadraalal,
Alp aayu ke maharathi hain, jinse bhay khaata hai kaal;
Paarth saarathi Krishna aa rahe, shwet ashwa rath par aswaar;
Sang Gaandeev liye hai Arjun, jiski door door tak maar.....
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai;
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai.
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
Ye saare hi Paandav pakshi, mahaashastradhar param karaal,
Mahaashastradhar param karaal;
Kintu kam nahi hain Kaurav bhi, unka bhi suniye ehwaal,
Unka bhi suniye ehwaal;
Shwet mukut hai, shwet kavach hai, shwet ashwa hain, rath bhi shwet;
Shwet vesh le, shwet kesh le, badhe Pitamah rann ke khet;
Peechhe rath me hai Duryodhan oonchaa karke chalta bhaal;
Guru Dron hain, Kripacharya hain, peechhe jinke sainya vishaal.....
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai;
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai.
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
Angraaj hai mahadhanurdhar, maharathi badh aataa Karna,
Maharathi badh aataa Karna;
Narayani liye Kritvarma, badhe Oolook, Yuyutsu, Vikarna,
Badhe Oolook, Yuyutsu, Vikarna;
Mahaveer hai Ashwatthama, jinka saha na jaaye prahaar.
Mama Shakuni unke peechhe, chale liye nangi talwaar;
Rath-yuddhon ke samarth adhipati, Du:shaasan yoddha vikaraal;
Sindhuraaj Jaydrath ka bhi rath, aataa jaise le bhoochaal......
Yeh dharm yuddh hai, yeh mahayuddh hai;
Yeh dharm yuddh hai, yeh mahayuddh hai.
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
Jo jo chaahe yuddh rokna, karte rahe sandhi prastaav,
Karte rahe sandhi prastaav;
Kintu viphal ho gaye sabhi ke, jitne aaye shaanti sujhaav,
Jitne aaye shaanti sujhaav;
Marne aur maarne ki hi sabne li hai mann me thaan,
Sabki aankhon me hai jwaalaa, sab ki baahon me toofaan;
Shankh nagaade rannbheri ki dishaa dishaa me hai gunjaar,
Dharaa kaampati, gagan goonjata, badhe andhera, ude dhuaan.....
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai;
Yeh mahayuddh hai, yeh dharm yuddh hai.
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
aaaa aaaaa aaaaa aaaaa...
Lapat uthe shastraagni ki, jhulas uthe sansaar;
Mahaakaal hai kholta, mahaasamar ke dwaar...
Информация по комментариям в разработке