WOH SHAAH-E-REFAI HAI | QASIDAA

Описание к видео WOH SHAAH-E-REFAI HAI | QASIDAA

WOH SHAAH-E-REFAI HAI, WOH WALIYO(n) KA WALI HAI
MAASHOOK-E-KHUDA UMM-E-ABIDA KA DHANI HAI

WOH SAAHAB-E-ALMAIN REFAI LAQABI HAI,
KHURSHEED-E-WILAAYAT HAI HUSAINI HASANI HAI

FIRDAUS KE PHOOLO(n) NE SALAAMI TUJHE DI HAI,
HAI RANG-E-ALI TUJH ME TOH KHUSBOO-E-NABI HAI

KYA BAZM-E-REFAI BHI SITARO(n) SE SAJI HAI,
DURVESH HAI, SUFI HAI, QALANDAR HAI, WALI HAI

HALKI SI NAZAR GAUS-E-REFAI KI PADI HAI,
DUNIYA HAI KE HAIRAT SE MUJHE DEKH RAHI HAI

ULJHI HUI ZULFO(n) KO SA(n)WARTE YAHA(n) DEKHA,
BIGDI HUI TAQDEER ZAMAANE KI BANI HAI

HAA(n) DAST-E-MUHAMMAD KA MILA AAPKO BOSA,
AUR ISKI SHAHAADAT SHAH-E-BAGHDAAD NE DI HAI

HAI MAAN NE WALE TOH REFAI KE HAZAARO(n),
SARKAAR KO PEHCHAAN NE WALO(n) KI KAMI HAI

DARBAAR-E-REFAI KA GADAA-E-AZALI HOO(n),
“AKHTAR” YU(n) FARISHTO(n) ME MERI BAAT CHALI HAI

SULTAAN-UL-AULIYAA,
ABUL ALAMAIN,
QUTBUL AQTAAB, MAASHOOK ALLAH,
HAZRAT SAIYED AHMED KABEER REFAI (RA)
ke YAUM-E-WILAADAT (1, Rajab, 512 Hijri) ke mubarak mauqe par,
Hazrat Saiyed Ahmed Kabeer Refai (ra) ki shaan me
Janaab Akhtar Barodavi (Khalifa-e-Refai) ki likhi hui mashhoor-o-maqbool manqabat ko
BAZM-E-REFAI (Khanqah-e-Refaia, Baroda) ki jaanib se Hazrat Saiyed Ahmed Kabeer Refai (ra) ki baargaah me ba taur-e-nazraana-e-aqidat pesh karne ki sa’aadat haasil ki jaa rahi hai.

Allah (swt) Huzoor (saw) ke sadqe me hum tamaam ko qayaamat ke din tak Hazrat Saiyed Ahmed Kabeer Refai (ra) ke fuyuz-o-barakaat se mustafeez farmaaye. AAMEEN.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке