Waasta - Faris Shafi x Ali Sethi

Описание к видео Waasta - Faris Shafi x Ali Sethi

MP3
  / waasta-faris-shafi-x-ali-sethi  

LYRICS

Ali Sethi:

Dheere se jalay
Dhal ke na dhalay
Kaisi yeh tanhai
Dil mein samaayi hai
Koi sazaa hai yeh
Dil ki davaa hai yeh
Tere deewane ki
Kaisi karavai hai

Tere rog mein
Meethay sog mein
Khaaye jo zakham
Jaari hein jaari hein ab bhi
Tu jo thhaam le
Dil ka kaam le
Ho jaaoon fidaa
Mein wari wari wari aan

Chorus (Ali Sethi)

Aare aare aa de aasra
Aankhon mein hai nami
Haan re haan re dil mein hai khalaa
Khwaabon se na bhari
Na re na re na de woh waasta
Yaadon se hu bari
Aare aa sunn ja yeh daastaan

Faris Shafi

Verse #1
——————
Dekho tum aa ke ab saray yahaan pe,
Faris ka ye andaaz e bayaan,
Jab tak aap karein tashri, iss nazm ki,
Faris hai yahaan se rawaan,

Paint a picture so perfect,
I’m like Sadequain on the beat,
Strikes be Surgical,
On the streets of Lahore,
Murdering all the weak on weekends,

I admit my defeat, Bus theek hai,
Now I’m Down on my knees and bleeding,
Gaoon Gaoon main jo bachay hain bhookay,
Roundabout pe wo mangtay hain bheekain,
SoundCloud pe main ganay charhaoon,

Im down to be the clown on weekends,
Un ko chore dein aap mujh pe hass lein,
ayen duba lein mujhay paoon ke neeche.

Chaoon Chaoon ye karte bache,
aur in ki cheekhain you devour,
Ao sab ko bechain inhain,
khabre keh k in ke lounge main neechay.

Tashadudd ki to hadd hee nahi hai,
Thats the real Shit,
Mazhab ko bhi yeh ganda karainge,
yeh kya tameez hai?

Muzaffar ke bhi nafay main,
kab se pistol lagi hai,
Ghazanfar ke bhi bistar ke neechay,
AK pari hai,

Ghazanfar ki tou age hee nahi hai,
Baligh nahi iss Qabil nahi,
par har taraf us ke,
Ghar walon ki lashain pareen,

Wo Qatil nahi par kya kare?
Maar de ya sab ko yeh maaf kare?
Gaarh de ya sab ko bardaasht kare?
Sab se yeh dastbardaar huey,

aur phir badle ka plan ijaad kare,
Parking lot main intezaar kare,
sarr main yeh aap ke suraakh kare,
aur phir yeh darr k wahaan se faraar huey,

Iftikhaar mujhay,
Do panadol la de,
synagogue main hum yeh blast karein ge,
Cinema ja k hartaal kareinge,
i sit at home while im masturbating.

Do muthain maar k main,
so foot k faslay pe,
chaur hotay do budhay,
babon se larh parha

kehtay hain
kyun likha tu ne yeh muskura?
maine kaha aap sub munafiq hain,
bhund mara, sun zara.

Mera nukta e nazar,
sun ke aap sab ki thuk jaye aqal
Sab munafqat ki chup jaye shaqal,
har mukhalfat ki ruk jaye dakhal.

Main hoon Faris and im like no other,
act retarded and im not your brother,
yeh to zahir hai k sab karein nakal,
yeh dua hai chup jain meray zakham.

yeh do ain hain le lo mera badan,
yeh jo bhai hain inhain kar do alag,
yeh to mycin se parh gaya faraq,
just dont mind me aap sab baray,
chawwal hain.

Raat ko dhai teen bajay aye bootlegger,
i politely decline your offer,
im surprised you dont know any better,
im surprised i didnt know any better man.

Chorus (Ali Sethi)

Aare aare aa de aasra
Aankhon mein hai nami
Haan re haan re dil mein hai khalaa
Khwaabon se na bhari
Na re na re na de woh waasta
Yaadon se hu bari
Aare aa sunn ja yeh daastaan

Faris Shafi

Verse #2
—————

Kya yeh sab huqmaraan astin k saamp hain?
main marr raha hoon Fazal Din k samne,
dard ki dawa de dard ladawa hai,
Ajeeb nizam hai sangeen mahaul hai

Inhey, ja k bol de,
Na mujhay shauq e kamaal hai,
na mujhay khauf e zawaal hai,
bus mujhay khauf e khuda hai ya Rab,

Tell me whats up with all this blood,
cant we all just be happy and stuff,
O kendi call kar ke tell me you love me back,
and im afraid thats a wrap!

Ali Sethi

Tu hai woh chaah jo dil mein hai aa bassi rahi
Tere siwa nahin koi yahaan
Tu hee hai woh tu hee hai woh raazdaan

Chorus

Aare aare aa de aasra
Aankhon mein hai nami
Haan re haan re dil mein hai khalaa
Khwaabon se na bhari
Na re na re na de woh waasta
Yaadon se hu bari
Aare aa sunn ja yeh daastaan

CREDITS

Produced by Saad Sultan
Rap lyrics by Faris Shafi
Song lyrics by Ali Sethi and Shakeel Sohail
Composition by Ali Sethi
Arrangement by Anthony Soshil
Harmonium by Shehzad Ali
Tabla by Fazal Abbas
Video Directed by Abdullah Harris

Copyright Faris Shafi and Ali Sethi

Комментарии

Информация по комментариям в разработке